nazar phir na ki us pe dil jis ka chhina
nazar phir na kī us pe dil jis kā chhīnā
mohabbat kā ye bhī hai koī qarīnā
vo kyā qadr jāneñ dil-e-āshiqāñ kī
na aalim na fāzil na daanā na biinā
ye kyā kufr-e-ne.amat hai ai shaiḳh āḳhir
ki barsāt meñ bhī pilānā na piinā
vahīñ se ye aañsū ravāñ haiñ jo dil meñ
tamannā kā poshīda hai ik ḳhazīna
bahā deñ vahāñ ḳhuun apnā jahāñ ham
tire husn kā girte dekheñ pasīnā
ye kyā qahr hai ham pe yā-rab ki be-mai
guzar jaaye sāvan kā yūñhī mahīna
bahār aa.ī sab shādmāñ haiñ magar ham
ye din kaise kāTeñge be-jām-o-mīnā
judā jab ki haiñ tujh se ai rāhat-e-jāñ
hamārā barābar hai jiinā na jiinā
miTe aib sab ishq-bāzī meñ 'hasrat'
na buġhz-o-hasad hai na ġhussa na kiina
nazar phir na ki us pe dil jis ka chhina
mohabbat ka ye bhi hai koi qarina
wo kya qadr jaanen dil-e-ashiqan ki
na aalim na fazil na dana na bina
ye kya kufr-e-neamat hai ai shaiKH aaKHir
ki barsat mein bhi pilana na pina
wahin se ye aansu rawan hain jo dil mein
tamanna ka poshida hai ek KHazina
baha den wahan KHun apna jahan hum
tere husn ka girte dekhen pasina
ye kya qahr hai hum pe ya-rab ki be-mai
guzar jaye sawan ka yunhi mahina
bahaar aai sab shadman hain magar hum
ye din kaise kaTenge be-jam-o-mina
juda jab ki hain tujh se ai rahat-e-jaan
hamara barabar hai jina na jina
miTe aib sab ishq-bazi mein 'hasrat'
na bughz-o-hasad hai na ghussa na kina
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 233)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.