wo kyun bigDe mere shor-e-fughan se
vo kyuuñ bigḌe mire shor-e-fuġhāñ se
shikāyat un se thī yā āsmāñ se
hameñ un kā ḳhayāl allāhu-akbar
kahāñ tak thā kahāñ tak hai kahāñ se
kahāñ tak pā ga.ī ishq-e-nazar ko
shikāyat ho na husn-e-bad-gumāñ se
malāmat hī likhī hai sar-basar kyā
mirī qismat meñ tere pāsbāñ se
ghirī kis kashmakash meñ hai tamannā
dil-e-betāb va jism-e-nā-tavāñ se
kahīñ un ke tasavvur kī bulandī
guzar jaa.e na hadd-e-lā-makāñ se
kisī par miT ke rah jaanā hai 'hasrat'
hameñ kyā kaam umr-e-jāvedāñ se
wo kyun bigDe mere shor-e-fughan se
shikayat un se thi ya aasman se
hamein un ka KHayal allahu-akbar
kahan tak tha kahan tak hai kahan se
kahan tak pa gai ishq-e-nazar ko
shikayat ho na husn-e-bad-guman se
malamat hi likhi hai sar-basar kya
meri qismat mein tere pasban se
ghiri kis kashmakash mein hai tamanna
dil-e-betab wa jism-e-na-tawan se
kahin un ke tasawwur ki bulandi
guzar jae na hadd-e-la-makan se
kisi par miT ke rah jaana hai 'hasrat'
hamein kya kaam umr-e-jawedan se
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 251)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktab Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.