mohabbat ke ewaz rahne lage har-dam KHafa mujhse
mohabbat ke evaz rahne lage har-dam ḳhafā mujh se
kaho to aisī kyā sarzad huī āḳhir ḳhatā mujh se
mileñ bhī vo to kyūñkar aarzū bar aa.egī dil kī
na hogā ḳhud ḳhayāl un ko na hogī iltijā mujh se
qarār aatā nahīñ dil ko kisī unvān-e-pahlū meñ
huā hai āshnā jab se vo kāfir mājrā mujh se
ġhanīmat hai jahān-e-āshiqī meñ zaat donoñ kī
ki nām-e-jaur qaa.em tum se hai rasm-e-vafā mujh se
falak se bhī hai kyā baḌh kar bulandī bām-e-jānāñ kī
ye pūchhā kartī hai aksar mirī āh-e-rasā mujh se
magar sair-e-chaman ko aaj vo phir aane vaale haiñ
abhī kuchh kah rahī thī kaan meñ bād-e-sabā mujh se
mohabbat bhī ajab shai hai ki bā-vasf-e-shanāsā.ī
nahīñ hotī muḳhātab vo nigāh-e-āshnā mujh se
sukūn-e-qalb kī ummīd ab kyā ho ki rahtī hai
tamannā kī do-chār ik har ghaḌī barq-e-balā mujh se
taqāza hai yahī ḳhū-e-niyāz-e-ishq-bāzī kā
na hogā us sarāpā-nāz kā 'hasrat' gilā mujh se
mohabbat ke ewaz rahne lage har-dam KHafa mujh se
kaho to aisi kya sarzad hui aaKHir KHata mujh se
milen bhi wo to kyunkar aarzu bar aaegi dil ki
na hoga KHud KHayal un ko na hogi iltija mujh se
qarar aata nahin dil ko kisi unwan-e-pahlu mein
hua hai aashna jab se wo kafir majra mujh se
ghanimat hai jahan-e-ashiqi mein zat donon ki
ki nam-e-jaur qaem tum se hai rasm-e-wafa mujh se
falak se bhi hai kya baDh kar bulandi baam-e-jaanan ki
ye puchha karti hai aksar meri aah-e-rasa mujh se
magar sair-e-chaman ko aaj wo phir aane wale hain
abhi kuchh kah rahi thi kan mein baad-e-saba mujh se
mohabbat bhi ajab shai hai ki ba-wasf-e-shanasai
nahin hoti muKHatab wo nigah-e-ashna mujh se
sukun-e-qalb ki ummid ab kya ho ki rahti hai
tamanna ki do-chaar ek har ghaDi barq-e-bala mujh se
taqaza hai yahi KHu-e-niyaz-e-ishq-bazi ka
na hoga us sarapa-naz ka 'hasrat' gila mujh se
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 254)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.