KHanqa se ta-dar-e-pir-e-mughan le jaega
ḳhānqa se tā-dar-e-pīr-e-muġhāñ le jā.egā
dil kahāñ se mujh ko laayā hai kahāñ le jā.egā
ab to furqat meñ taḌapnā bhī nahīñ mumkin ki tū
merī tāsīr-e-mohabbat par gumāñ le jā.egā
āshiqoñ ke hoñge rāh-e-yār meñ kyā kyā hujūm
shauq jin ko kārvāñ-dar-kārvāñ le jā.egā
jis qadar chāheñ chhupā kar dil ko ham rakheñ magar
jab vo aa.egā to ik din nā-gahāñ le jā.egā
ham za.īfān-e-mohabbat kā pahuñchnā thā muhāl
manzil-e-maqsūd tak vo naujavāñ le jā.egā
qadr hogī mere zabt-e-shauq kī us dam ayaañ
jab manā kar ḳhud mujhe vo jān-e-jāñ le jā.egā
un kī mahfil meñ jise le jā.egā baḳht-e-rasā
kāmyāb-o-kāmrān-o-shādmāñ le jā.egā
ishq naqd-e-jāñ ke badle husn ke bāzār se
muft goyā dard kī jins-e-girāñ le jā.egā
rā.egāñ 'hasrat' na jā.egā mirā musht-e-ġhubār
kuchh zamīñ le jā.egī kuchh āsmāñ le jā.egā
KHanqa se ta-dar-e-pir-e-mughan le jaega
dil kahan se mujh ko laya hai kahan le jaega
ab to furqat mein taDapna bhi nahin mumkin ki tu
meri tasir-e-mohabbat par guman le jaega
aashiqon ke honge rah-e-yar mein kya kya hujum
shauq jin ko karwan-dar-karwan le jaega
jis qadar chahen chhupa kar dil ko hum rakhen magar
jab wo aaega to ek din na-gahan le jaega
hum zaifan-e-mohabbat ka pahunchna tha muhaal
manzil-e-maqsud tak wo naujawan le jaega
qadr hogi mere zabt-e-shauq ki us dam ayan
jab mana kar KHud mujhe wo jaan-e-jaan le jaega
un ki mahfil mein jise le jaega baKHt-e-rasa
kaamyab-o-kaamran-o-shadman le jaega
ishq naqd-e-jaan ke badle husn ke bazar se
muft goya dard ki jins-e-giran le jaega
raegan 'hasrat' na jaega mera musht-e-ghubar
kuchh zamin le jaegi kuchh aasman le jaega
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 260)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.