tere dard se jis ko nisbat nahin hai
tire dard se jis ko nisbat nahīñ hai
vo rāhat musībat hai rāhat nahīñ hai
junūn-e-mohabbat kā dīvāna huuñ maiñ
mere sar meñ saudā-e-hikmat nahīñ hai
tire ġham ko duniyā meñ ai jān-e-ālam
koī ruuh mahrūm-e-rāhat nahīñ hai
mujhe garm-e-nazzāra dekhā to hañs kar
vo bole ki is kī ijāzat nahīñ hai
jhukī hai tire bār-e-irfāñ se gardan
hameñ sar uThāne kī fursat nahīñ hai
ye hai un ke ik rū-e-rañgīñ kā partav
bahār-e-tilism-e-latāfat nahīñ hai
tire sarfaroshoñ meñ hai kaun aisā
jise dil se shauq-e-shahādat nahīñ hai
taġhāful kā shikva karūñ un se kyūñkar
vo kah deñge tū be-muravvat nahīñ hai
vo kahte haiñ shoḳhī se ham dilrubā haiñ
hameñ dil-navāzī kī aadat nahīñ hai
shahīdān-e-ġham haiñ subuk-rūh kyā kyā
ki is dil meñ bār-e-nadāmat nahīñ hai
namūna hai takmīl-e-husn-e-suḳhan kā
guharbārī-e-taba.a-e-'hasrat' nahīñ hai
tere dard se jis ko nisbat nahin hai
wo rahat musibat hai rahat nahin hai
junun-e-mohabbat ka diwana hun main
mere sar mein sauda-e-hikmat nahin hai
tere gham ko duniya mein ai jaan-e-alam
koi ruh mahrum-e-rahat nahin hai
mujhe garm-e-nazzara dekha to hans kar
wo bole ki is ki ijazat nahin hai
jhuki hai tere bar-e-irfan se gardan
hamein sar uThane ki fursat nahin hai
ye hai un ke ek ru-e-rangin ka partaw
bahaar-e-tilism-e-latafat nahin hai
tere sarfaroshon mein hai kaun aisa
jise dil se shauq-e-shahadat nahin hai
taghaful ka shikwa karun un se kyunkar
wo kah denge tu be-murawwat nahin hai
wo kahte hain shoKHi se hum dilruba hain
hamein dil-nawazi ki aadat nahin hai
shahidan-e-gham hain subuk-ruh kya kya
ki is dil mein bar-e-nadamat nahin hai
namuna hai takmil-e-husn-e-suKHan ka
guharbari-e-taba-e-'hasrat' nahin hai
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 296)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.