aashiqon se narawa hai be-wafai aap ki
āshiqoñ se nāravā hai be-vafā.ī aap kī
had se baḌh jaaye na shān-e-kaj-adā.ī aap kī
aarzū ke dil pe ā.eñgī na kyā kyā āfateñ
dar-pai-e-inkār hai nā-āshnā.ī aap kī
ḳhūb-rū haiñ aap maanā ham ne phir bhī is qadar
dekhiye achchhī nahīñ hai ḳhud-satā.ī aap kī
rah ga.ī ahl-e-havas meñ yādgār-e-husn-o-ishq
nāz-bardārī hamārī dil-rubā.ī aap kī
mujh se aksar ye kahā kartā hai vo maḳhmūr-e-nāz
dekhiye nibhtī hai kab tak pārsā.ī aap kī
ik hamīñ to kuchh nahīñ haiñ aap ke tā.at-guzār
tābe.a-e-farmāñ huī saarī ḳhudā.ī aap kī
kaise dekhe kaun dekhe aap kā nūr-e-jamāl
jaan jab Thahrī huī ho rū-numā.ī aap kī
aap ko aatā rahā mere satāne kā ḳhayāl
sulh se achchhī rahī mujh ko laḌā.ī aap kī
barq kā aksar ye kahnā yaad aatā hai mujhe
tinke chunvāne lagī ham se judā.ī aap kī
arz karke hāl-e-dil kis darja haiñ mahjūb ham
dekh kar ġhusse meñ sūrat tamtamā.ī aap kī
shāh-e-jīlāñ ke sivā mushkil-kushā ke vāste
kaun kartā aur 'hasrat' rahnumā.ī aap kī
aashiqon se narawa hai be-wafai aap ki
had se baDh jaye na shan-e-kaj-adai aap ki
aarzu ke dil pe aaengi na kya kya aafaten
dar-pai-e-inkar hai na-ashnai aap ki
KHub-ru hain aap mana hum ne phir bhi is qadar
dekhiye achchhi nahin hai KHud-satai aap ki
rah gai ahl-e-hawas mein yaadgar-e-husn-o-ishq
naz-bardari hamari dil-rubai aap ki
mujh se aksar ye kaha karta hai wo maKHmur-e-naz
dekhiye nibhti hai kab tak parsai aap ki
ek hamin to kuchh nahin hain aap ke taat-guzar
tabea-e-farman hui sari KHudai aap ki
kaise dekhe kaun dekhe aap ka nur-e-jamal
jaan jab Thahri hui ho ru-numai aap ki
aap ko aata raha mere satane ka KHayal
sulh se achchhi rahi mujh ko laDai aap ki
barq ka aksar ye kahna yaad aata hai mujhe
tinke chunwane lagi hum se judai aap ki
arz karke haal-e-dil kis darja hain mahjub hum
dekh kar ghusse mein surat tamtamai aap ki
shah-e-jilan ke siwa mushkil-kusha ke waste
kaun karta aur 'hasrat' rahnumai aap ki
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 341)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.