aarzu lazim hai wajh-e-arzu ho ya na ho
aarzū lāzim hai vaj.h-e-ārzū ho yā na ho
iltifāt us kāfir-e-ḳhud-bīñ kī ḳhū ho yā na ho
dekhnā hai hazrat-e-dil ham se un ke rū-ba-rū
aap ke baare meñ bhī kuchh guftugū ho yā na ho
chāhte haiñ vo chaman meñ kasrat-e-husn-e-gulāb
motiyā belā chamelī naaz bū ho yā na ho
ham se kahte haiñ kareñge aaj iz.hār-e-karam
is se kuchh matlab nahīñ mahfil meñ tū ho yā na ho
ab kisī ko aur chāheñge na ham tere sivā
husn kī duniyā meñ tujh sā ḳhūb-rū ho yā na ho
kū-e-jānāñ meñ salāt-e-ishq paḌhne ke liye
dekhiye āb-e-shahādat se vuzū ho yā na ho
un se naubat laḌke phir milne kī aa.e yā na aa.e
chāk-dāmān-e-tamannā ab rafū ho yā na ho
aarzu lazim hai wajh-e-arzu ho ya na ho
iltifat us kafir-e-KHud-bin ki KHu ho ya na ho
dekhna hai hazrat-e-dil hum se un ke ru-ba-ru
aap ke bare mein bhi kuchh guftugu ho ya na ho
chahte hain wo chaman mein kasrat-e-husn-e-gulab
motiya bela chameli naz bu ho ya na ho
hum se kahte hain karenge aaj izhaar-e-karam
is se kuchh matlab nahin mahfil mein tu ho ya na ho
ab kisi ko aur chahenge na hum tere siwa
husn ki duniya mein tujh sa KHub-ru ho ya na ho
ku-e-jaanan mein salat-e-ishq paDhne ke liye
dekhiye aab-e-shahadat se wuzu ho ya na ho
un se naubat laDke phir milne ki aae ya na aae
chaak-daman-e-tamanna ab rafu ho ya na ho
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 355)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.