aashna ho kar nazar na-ashna karne lage
āshnā ho kar nazar nā-āshnā karne lage
ham se kyā dekhā ki tum pās-e-hayā karne lage
rashk aayā hai mujhe kyā kyā jab un ke rū-ba-rū
mudda.ī-e-be-bāk arz-e-mudda.ā karne lage
halqa-e-aġhyār meñ bhī pā ke un ko garm-e-lutf
ham lab-e-hasrat se shor-e-marhabā karne lage
aur to kuchh bhī na ham se is ke aage ban paḌā
husn-e-ḳhalq-e-yār kī mad.h-o-sanā karne lage
dilrubā.ī kā bhī kuchh kuchh Dhab unheñ aane lagā
baat matlab kī ishāroñ meñ adā karne lage
kaun kahtā hai ki ham haiñ mā.il-e-tark-e-vafā
aap nāhaq apne dil ko bad-maza karne lage
bhuul kar hukm-e-ḳhudā yād-e-butāñ rahne lagī
kyā tumheñ karnā thā 'hasrat' aah kyā karne lage
aashna ho kar nazar na-ashna karne lage
hum se kya dekha ki tum pas-e-haya karne lage
rashk aaya hai mujhe kya kya jab un ke ru-ba-ru
muddai-e-be-bak arz-e-muddaa karne lage
halqa-e-aghyar mein bhi pa ke un ko garm-e-lutf
hum lab-e-hasrat se shor-e-marhaba karne lage
aur to kuchh bhi na hum se is ke aage ban paDa
husn-e-KHalq-e-yar ki madh-o-sana karne lage
dilrubai ka bhi kuchh kuchh Dhab unhen aane laga
baat matlab ki ishaaron mein ada karne lage
kaun kahta hai ki hum hain mail-e-tark-e-wafa
aap nahaq apne dil ko bad-maza karne lage
bhul kar hukm-e-KHuda yaad-e-butan rahne lagi
kya tumhein karna tha 'hasrat' aah kya karne lage
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 369)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.