na ho uski KHata-poshi pe kyun naz-e-gunah-gari
na ho us kī ḳhatā-poshī pe kyuuñ nāz-e-gunah-gārī
nishān-e-shān-e-rahmat bin gayā dāġh-e-siyah-kārī
sitam tum chhoḌ do maiñ shikva-sanjī-hā-e-nā-chārī
ki farz-e-ain hai kesh-e-mohabbat meñ ravādārī
vafā se dushmanī rakh kar mire dil kī talabgārī
bahut mushkil hai is jins-e-girāmī kī ḳharīdārī
huiiñ nākāmiyāñ bad-nāmiyāñ rusvā.iyāñ kyā kyā
na chhūTī ham se lekin kū-e-jānāñ kī havādārī
vo din ab yaad aate haiñ ki āġhāz-e-mohabbat meñ
na chālākī tujhe ai shoḳh aatī hai na ayyārī
nahīñ ġham jeb-o-dāman kā magar haañ fikr hai itnī
na uTThegā mire dast-e-junūñ se rañj-e-bekārī
na chhoḌā marte dam tak saath bīmār-e-mohabbat kā
qasam khāne ke qābil hai tire ġham kī vafādārī
na un ko rahm aatā hai na mujh se sabr hai mumkin
kahīñ āsān ho yārab mohabbat kī ye dushvārī
vufūr-e-ashk-e-paiham se hujūm-e-shauq-e-behad meñ
mirī āñkhoñ se hai ik ābshār-e-ārzū jaarī
ġhazab rañgīniyāñ thiiñ girya-hā-e-ibtidā.ī kī
huī hai jis se dāmān-e-mohabbat par ye gul-kārī
nahīñ khultī mirī nisbat tirī ai hīla-jū marzī
ki hai iqrār-e-dil-jūī na inkār-e-sitam-gārī
na kar itnā sitam ham dard-mandoñ par ki duniyā se
mabādā ik qalam uTh jaaye tahzīb-e-vafādārī
ravāñ hai qāfila sū-e-adam arbāb-e-mehnat kā
gayā pahle hī dil ab jān-e-maḳhzūñ kī hai tayyārī
ḳhushī se ḳhatm kar le saḳhtiyāñ qaid-e-farañg apnī
ki ham āzād haiñ begāna-e-ranj-e-dil-āzārī
na dekhe aur dil ushshāq par phir bhī nazar rakhe
qayāmat hai nigāh-e-yār kā husn-e-ḳhabardārī
yahī aalam rahā gar us ke husn-e-sehr-parvar kā
to baaqī rah chukī duniyā meñ rāh-o-rasm-e-hushiyārī
vo jurm-e-ārzū par jis qadar chāheñ sazā de leñ
mujhe ḳhud ḳhvāhish-e-ta.azīr hai mulzim huuñ iqrārī
chalā barsāt kā mausam na chhūTe qaid-e-ġham se ham
baḌī be-lutfiyoñ meñ ab kī guzrā vaqt-e-mai-ḳhvārī
'nasīm'-e-dehlavī ko vajd hai firdaus meñ 'hasrat'
jazāk-allāh terī shā.irī hai yā fusūñ-kārī
na ho us ki KHata-poshi pe kyun naz-e-gunah-gari
nishan-e-shan-e-rahmat bin gaya dagh-e-siyah-kari
sitam tum chhoD do main shikwa-sanji-ha-e-na-chaari
ki farz-e-ain hai kesh-e-mohabbat mein rawadari
wafa se dushmani rakh kar mere dil ki talabgari
bahut mushkil hai is jins-e-girami ki KHaridari
huin nakaamiyan bad-namiyan ruswaiyan kya kya
na chhuTi hum se lekin ku-e-jaanan ki hawadari
wo din ab yaad aate hain ki aaghaz-e-mohabbat mein
na chaalaki tujhe ai shoKH aati hai na ayyari
nahin gham jeb-o-daman ka magar han fikr hai itni
na uTThega mere dast-e-junun se ranj-e-bekari
na chhoDa marte dam tak sath bimar-e-mohabbat ka
qasam khane ke qabil hai tere gham ki wafadari
na un ko rahm aata hai na mujh se sabr hai mumkin
kahin aasan ho yarab mohabbat ki ye dushwari
wufur-e-ashk-e-paiham se hujum-e-shauq-e-behad mein
meri aankhon se hai ek aabshaar-e-arzu jari
ghazab ranginiyan thin girya-ha-e-ibtidai ki
hui hai jis se daman-e-mohabbat par ye gul-kari
nahin khulti meri nisbat teri ai hila-ju marzi
ki hai iqrar-e-dil-jui na inkar-e-sitam-gari
na kar itna sitam hum dard-mandon par ki duniya se
mabaada ek qalam uTh jaye tahzib-e-wafadari
rawan hai qafila su-e-adam arbab-e-mehnat ka
gaya pahle hi dil ab jaan-e-maKHzun ki hai tayyari
KHushi se KHatm kar le saKHtiyan qaid-e-farang apni
ki hum aazad hain begana-e-ranj-e-dil-azari
na dekhe aur dil ushshaq par phir bhi nazar rakhe
qayamat hai nigah-e-yar ka husn-e-KHabardari
yahi aalam raha gar us ke husn-e-sehr-parwar ka
to baqi rah chuki duniya mein rah-o-rasm-e-hushiyari
wo jurm-e-arzu par jis qadar chahen saza de len
mujhe KHud KHwahish-e-tazir hai mulzim hun iqrari
chala barsat ka mausam na chhuTe qaid-e-gham se hum
baDi be-lutfiyon mein ab ki guzra waqt-e-mai-KHwari
'nasim'-e-dehlawi ko wajd hai firdaus mein 'hasrat'
jazak-allah teri shairi hai ya fusun-kari
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 130)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.