qawi dil shadman dil parsa dil
qavī dil shādmāñ dil pārsā dil
tire āshiq ne bhī paayā hai kyā dil
lagā do aag uzr-e-maslahat ko
ki hai bezār us shai se mirā dil
jafā-kārī hai taslīm-e-sitam bhī
na hogā tābe.a-e-jaur-o-jafā dil
ġhalat hai qaul-e-aql-e-maslahat-kosh
na us jānib karegā e'tinā dil
lagā kar aañkh us jān-e-jahāñ se
na hogā ab kisī se āshnā dil
miTe afkār-e-gonā-goñ ke jhagḌe
tire ġham ko na de kyūñkar duā dil
na pahuñchegī kabhī kyā gosh-e-gul tak
qafas se uḌ ke fariyād-e-anādil
tavānā-e-sadāqat hai to hargiz
na hogā pairav-e-bātil mirā dil
baḌī dargāh kā saa.il huuñ 'hasrat'
baḌī ummīd hai merī baḌā dil
qawi dil shadman dil parsa dil
tere aashiq ne bhi paya hai kya dil
laga do aag uzr-e-maslahat ko
ki hai bezar us shai se mera dil
jafa-kari hai taslim-e-sitam bhi
na hoga tabea-e-jaur-o-jafa dil
ghalat hai qaul-e-aql-e-maslahat-kosh
na us jaanib karega e'tina dil
laga kar aankh us jaan-e-jahan se
na hoga ab kisi se aashna dil
miTe afkar-e-gona-gon ke jhagDe
tere gham ko na de kyunkar dua dil
na pahunchegi kabhi kya gosh-e-gul tak
qafas se uD ke fariyaad-e-anadil
tawana-e-sadaqat hai to hargiz
na hoga pairaw-e-baatil mera dil
baDi dargah ka sail hun 'hasrat'
baDi ummid hai meri baDa dil
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 178)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.