tumhaara naz farmana bura hai
tumhārā naaz farmānā burā hai
hamārā hosh meñ aanā burā hai
tirā har baat par ai hīla-parvar
mire sar kī qasam khānā burā hai
takalluf sab se kar ai jān-e-mahfil
mujhī se terā sharmānā burā hai
yahī kah do ki ab milnā na hogā
ye taḌpānā ye tarsānā burā hai
mirī har-dam kī betābī se jal kar
vo kahte haiñ ye dīvānā burā hai
mire dil se hai raazī ġham tumhārā
na kahnā ab ye kāshāna burā hai
yahī kah de na ik din ai sitamgar
tirī hājat kā barlānā burā hai
vahāñ bhī kyā nahīñ asnām-e-pindār
to kyuuñ masjid se but-ḳhāna burā hai
hare ho jā.eñge sab daaġh dil ke
tirā 'hasrat' udhar jaanā burā hai
tumhaara naz farmana bura hai
hamara hosh mein aana bura hai
tera har baat par ai hila-parwar
mere sar ki qasam khana bura hai
takalluf sab se kar ai jaan-e-mahfil
mujhi se tera sharmana bura hai
yahi kah do ki ab milna na hoga
ye taDpana ye tarsana bura hai
meri har-dam ki betabi se jal kar
wo kahte hain ye diwana bura hai
mere dil se hai raazi gham tumhaara
na kahna ab ye kashana bura hai
yahi kah de na ek din ai sitamgar
teri hajat ka barlana bura hai
wahan bhi kya nahin asnam-e-pindar
to kyun masjid se but-KHana bura hai
hare ho jaenge sab dagh dil ke
tera 'hasrat' udhar jaana bura hai
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 407)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.