Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

wasl ki banti hain in baaton se tadbiren kahin

Hasrat Mohani

wasl ki banti hain in baaton se tadbiren kahin

Hasrat Mohani

MORE BYHasrat Mohani

    vasl bantī haiñ in bātoñ se tadbīreñ kahīñ

    ārzuoñ se phirā kartī haiñ taqdīreñ kahīñ

    be-zabānī tarjumān-e-shauq be-had ho to ho

    varna pesh-e-yār kaam aatī haiñ taqrīreñ kahīñ

    miT rahī haiñ dil se yādeñ rozgār-e-aish

    ab nazar kaahe ko ā.eñgī ye tasvīreñ kahīñ

    iltifāt-e-yār thā ik ḳhvāb āġhāz-e-vafā

    sach huā kartī haiñ in ḳhvāboñ ta.abīreñ kahīñ

    terī be-sabrī hai 'hasrat' ḳhaam kaarī dalīl

    giryae-e-ushshāq meñ hotī haiñ tāsīreñ kahīñ

    wasl ki banti hain in baaton se tadbiren kahin

    aarzuon se phira karti hain taqdiren kahin

    be-zabani tarjuman-e-shauq be-had ho to ho

    warna pesh-e-yar kaam aati hain taqriren kahin

    miT rahi hain dil se yaaden rozgar-e-aish ki

    ab nazar kahe ko aaengi ye taswiren kahin

    iltifat-e-yar tha ek KHwab aaghaz-e-wafa

    sach hua karti hain in KHwabon ki tabiren kahin

    teri be-sabri hai 'hasrat' KHam kari ki dalil

    giryae-e-ushshaq mein hoti hain tasiren kahin

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.II (Pg. 101)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now