Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

thi rahat-e-hairat ki kis darja farawani

Hasrat Mohani

thi rahat-e-hairat ki kis darja farawani

Hasrat Mohani

MORE BYHasrat Mohani

    thī rāhat-e-hairat kis darja farāvānī

    maiñ ne ġham-e-hastī sūrat bhī na pahchānī

    ik maiñ huuñ so kyā maiñ huuñ mahrūm-e-farāġhat huuñ

    ik dil hai so kyā dil hai majbūr-e-pareshānī

    kis darja pashemāñ hai tāsīr-e-vafā merī

    is shoḳh pe aatā hai ilzām-e-pashemānī

    dekh ai sitam jānāñ ye naqsh-e-mohabbat haiñ

    bante haiñ ba-dushvārī miTte haiñ ba-āsānī

    maiñ us but-e-bad-ḳhū is aan par martā huuñ

    khīñchā na kabhī us ne andoh-e-pashemānī

    yaañ sabr meñ hai pinhāñ kaifiyat-e-betābī

    vaañ lutf se paidā hai andāz-e-sitam-rānī

    qaa.em hai tire dam se tarz-e-suḳhan qaa.em

    phir varna kahāñ 'hasrat' ye rañg-e-ġhazal-ḳhvānī

    thi rahat-e-hairat ki kis darja farawani

    main ne gham-e-hasti ki surat bhi na pahchani

    ek main hun so kya main hun mahrum-e-faraghat hun

    ek dil hai so kya dil hai majbur-e-pareshani

    kis darja pasheman hai tasir-e-wafa meri

    is shoKH pe aata hai ilzam-e-pashemani

    dekh ai sitam jaanan ye naqsh-e-mohabbat hain

    bante hain ba-dushwari miTte hain ba-asani

    main us but-e-bad-KHu ki is aan par marta hun

    khincha na kabhi us ne andoh-e-pashemani

    yan sabr mein hai pinhan kaifiyat-e-betabi

    wan lutf se paida hai andaz-e-sitam-rani

    qaem hai tere dam se tarz-e-suKHan qaem

    phir warna kahan 'hasrat' ye rang-e-ghazal-KHwani

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 135)
    • Author : Hasrat Mohani
    • Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now