shikan jab se dekhi hai unki jabin par
shikan jab se dekhī hai un kī jabīñ par
ajab sadma hai jān-e-andoh-gīñ par
na chhuTegī ab duḳht-e-zar ham se saaqī
kareñge amal terī raa.e zarrīñ par
ye jāneñ haiñ ushshāq kī yā hai afshāñ
paḌī hai jo is gesū-e-ambarīñ par
ajab us kī ḳhushbū hai kuchh rūh-parvar
vo koshish jo thī us tan-e-nāznīñ par
kuchh aa.ī to hai tark-e-mai par tabī.at
na machle jo rañgīnī-e-sātgīñ par
na kar nāsehā zabt-e-ġham kī nasīhat
ki hai sabr dushvār jān-e-hazīñ par
bahut ham ne DhūñDā magar misl terā
na paayā kahīñ aur rū-e-zamīñ par
mire girya-e-ḳhūñ kī sab lāla-kārī
numūdār hai dāman-e-āstīñ par
huī us meñ ik garmī-e-shauq paidā
paḌī jo nazar us ruḳh-e-ātishīñ par
tamāshā-e-ḳhūbāñ se itnā taġhāful
sad-afsos us zuhd-e-ḳhalvat-nashīñ par
nisār us pe 'hasrat' mirī jān-e-shīrīñ
tabassum jo hai us lab-e-shakkarīñ par
shikan jab se dekhi hai un ki jabin par
ajab sadma hai jaan-e-andoh-gin par
na chhuTegi ab duKHt-e-zar hum se saqi
karenge amal teri rae zarrin par
ye jaanen hain ushshaq ki ya hai afshan
paDi hai jo is gesu-e-ambarin par
ajab us ki KHushbu hai kuchh ruh-parwar
wo koshish jo thi us tan-e-naznin par
kuchh aai to hai tark-e-mai par tabiat
na machle jo rangini-e-satgin par
na kar naseha zabt-e-gham ki nasihat
ki hai sabr dushwar jaan-e-hazin par
bahut hum ne DhunDa magar misl tera
na paya kahin aur ru-e-zamin par
mere girya-e-KHun ki sab lala-kari
numudar hai daman-e-astin par
hui us mein ek garmi-e-shauq paida
paDi jo nazar us ruKH-e-atishin par
tamasha-e-KHuban se itna taghaful
sad-afsos us zuhd-e-KHalwat-nashin par
nisar us pe 'hasrat' meri jaan-e-shirin
tabassum jo hai us lab-e-shakkarin par
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 171)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.