jafa ko wafa samjhen kab tak bhala hum
jafā ko vafā samjheñ kab tak bhalā ham
ab aise bhī un ke nahīñ mubtalā ham
ajab haiñ ye rāz-o-niyāz-e-mohabbat
ḳhafā kyuuñ hue vo haiñ is par ḳhafā ham
na shīrīn-o-lailā na farhād-o-majnūñ
zamāne meñ ab ek yā tum ho yā ham
ye kyā munsifī hai ki mahfil meñ terī
kisī kā bhī ho jurm paa.eñ sazā ham
tire jaur kā hai taqāza ki dekheñ
abhī kuchh dinoñ aur rāh-e-qazā ham
ġharīboñ se kahtī hai rahmat ye un kī
ki haiñ benavāoñ ke hājat-ravā ham
tirī raah meñ mar miTeñ bhī to kyā hai
fanā ho ke pā.eñge aish-e-baqā ham
tirī ḳhū-e-barham se vāqif thī phir bhī
hue muft sharminda-e-iltijā ham
amīrī meñ ho yā faqīrī meñ 'hasrat'
baharhāl DhūñDheñge un kī razā ham
jafa ko wafa samjhen kab tak bhala hum
ab aise bhi un ke nahin mubtala hum
ajab hain ye raaz-o-niyaz-e-mohabbat
KHafa kyun hue wo hain is par KHafa hum
na shirin-o-laila na farhad-o-majnun
zamane mein ab ek ya tum ho ya hum
ye kya munsifi hai ki mahfil mein teri
kisi ka bhi ho jurm paen saza hum
tere jaur ka hai taqaza ki dekhen
abhi kuchh dinon aur rah-e-qaza hum
gharibon se kahti hai rahmat ye un ki
ki hain benawaon ke hajat-rawa hum
teri rah mein mar miTen bhi to kya hai
fana ho ke paenge aish-e-baqa hum
teri KHu-e-barham se waqif thi phir bhi
hue muft sharminda-e-iltija hum
amiri mein ho ya faqiri mein 'hasrat'
baharhaal DhunDhenge un ki raza hum
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 179)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.