roz-o-shab roya kae sham-o-sahar roya kae
roz-o-shab royā ka.e shām-o-sahar royā ka.e
rone vaale tere tujh ko umr-bhar royā ka.e
be-vafā.ī sab se kar ke tū ne dī dād-e-vafā
terī is himmat pe tere nauhagar royā ka.e
ḳhām-kārī meñ bhī terī vaz.a-dārī kā thā rañg
ya.anī ham us se bhī kar ke darguzar royā ka.e
kuchh ḳhabar hai tujh ko ai āsūda-e-ḳhvāb-e-lahad
shab jo terī yaad meñ ham tā-sahar royā ka.e
tere jīte-jī na jaanī qadr terī ai aziiz
apnī is taqsīr par ham kis qadar royā ka.e
jān-e-maḳhzūñ va Dil-e-pur-ġham kī hālat kyā kahūñ
yaad kuchh kar kar ke jo bāham digar royā ka.e
'barq' ke marne kā 'hasrat' vāqi.a aisā nahīñ
kuchh na ro.e aah agar ham umr-bhar royā ka.e
roz-o-shab roya kae sham-o-sahar roya kae
rone wale tere tujh ko umr-bhar roya kae
be-wafai sab se kar ke tu ne di dad-e-wafa
teri is himmat pe tere nauhagar roya kae
KHam-kari mein bhi teri waza-dari ka tha rang
yani hum us se bhi kar ke darguzar roya kae
kuchh KHabar hai tujh ko ai aasuda-e-KHwab-e-lahad
shab jo teri yaad mein hum ta-sahar roya kae
tere jite-ji na jaani qadr teri ai aziz
apni is taqsir par hum kis qadar roya kae
jaan-e-maKHzun wa Dil-e-pur-gham ki haalat kya kahun
yaad kuchh kar kar ke jo baham digar roya kae
'barq' ke marne ka 'hasrat' waqia aisa nahin
kuchh na roe aah agar hum umr-bhar roya kae
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 186)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.