hawa muafiq nahin bagh-e-jinan ki
havā muvāfiq nahīñ bāġh-e-jināñ kī
ḳhabar lā de koī kū-e-butāñ kī
sahar se dil nahīñ Thahrā hai merā
havā aa.ī thī kyā kahiye kahāñ kī
qayāmat aa ga.ī ai bekasī kyā
safar meñ yaad aur kū-e-butāñ kī
vo duzdīda-nazar vo mehr-e-maḳhfī
sitam hai yaad ishq-e-nāgahāñ kī
vo ro.eñ vaqt-e-ruḳhsat ab hameñ kyā
rasā.ī-hāye āh-e-nā-tavāñ kī
tire kūche kī ho jaaye to achchhā
ḳhudā jaane ye miTTī hai kahāñ kī
na pūchheñ aap hāl-e-marg-e-'maikash'
ajab hālat huī is naujavāñ kī
hawa muwafiq nahin bagh-e-jinan ki
KHabar la de koi ku-e-butan ki
sahar se dil nahin Thahra hai mera
hawa aai thi kya kahiye kahan ki
qayamat aa gai ai bekasi kya
safar mein yaad aur ku-e-butan ki
wo duzdida-nazar wo mehr-e-maKHfi
sitam hai yaad ishq-e-nagahan ki
wo roen waqt-e-ruKHsat ab hamein kya
rasai-haye aah-e-na-tawan ki
tere kuche ki ho jaye to achchha
KHuda jaane ye miTTi hai kahan ki
na puchhen aap haal-e-marg-e-'maikash'
ajab haalat hui is naujawan ki
- Book : Maikada (Pg. 71)
- Author : Maikash Akbarabadi
- Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.