hijab kis ka hai aaKHir dulhan banae hue
hijāb kis kā hai āḳhir dulhan banā.e hue
hai bū jo ġhunchoñ kī ghuñghaT meñ muñh chhupā.e hue
kaaro na jauhar-e-zātī ko 'arsh' zāhir tum
zamīñ apne ḳhazānoñ ko hai chhupā.e hue
vo log manzil-e-pīrī meñ haiñ jo aa.e hue
ḳhayāl-e-qabr meñ baiThe haiñ sar jhukā.e hue
janāb-e-'arsh' ko kis mast-e-nāz kā hai ḳhayāl
ki aaj jhuum rahe haiñ vo sar jhukā.e hue
firāq meñ haiñ ham andāz dil kā paa.e hue
ye vo charāġh hai jaltā hai be-jalā.e hue
agar ho soz to ai arsh dil ko raushan kar
charāġh jal nahīñ saktā hai be-jalā.e hue
hijab kis ka hai aaKHir dulhan banae hue
hai bu jo ghunchon ki ghunghaT mein munh chhupae hue
karo na jauhar-e-zati ko 'arsh' zahir tum
zamin apne KHazanon ko hai chhupae hue
wo log manzil-e-piri mein hain jo aae hue
KHayal-e-qabr mein baiThe hain sar jhukae hue
janab-e-'arsh' ko kis mast-e-naz ka hai KHayal
ki aaj jhum rahe hain wo sar jhukae hue
firaq mein hain hum andaz dil ka pae hue
ye wo charagh hai jalta hai be-jalae hue
agar ho soz to ai arsh dil ko raushan kar
charagh jal nahin sakta hai be-jalae hue
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 139)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.