hosh ki baaten wahi karta hai aksar hosh mein
hosh kī bāteñ vahī kartā hai aksar hosh meñ
ḳhud bhī jo mahbūb ho mahbūb kī āġhosh meñ
ek pahlū hijr kā hai ek karvaT vasl kī
farq kyā hai zindagī aur maut kī āġhosh meñ
haañ vahī āġhosh jo ik bazm dar-āġhosh hai
maiñ bahr-ālam rahā kartā huuñ us āġhosh meñ
tum hiqārat se mujhe dekho na apnī bazm meñ
ḳhaar bhī rahte haiñ aksar phuul kī āġhosh meñ
kaash mere ham-nafas bhī ġhaur farmā.eñ 'azīz'
zindagī kā har-nafas hai maut kī āġhosh meñ
hosh ki baaten wahi karta hai aksar hosh mein
KHud bhi jo mahbub ho mahbub ki aaghosh mein
ek pahlu hijr ka hai ek karwaT wasl ki
farq kya hai zindagi aur maut ki aaghosh mein
han wahi aaghosh jo ek bazm dar-aghosh hai
main bahr-alam raha karta hun us aaghosh mein
tum hiqarat se mujhe dekho na apni bazm mein
KHar bhi rahte hain aksar phul ki aaghosh mein
kash mere ham-nafas bhi ghaur farmaen 'aziz'
zindagi ka har-nafas hai maut ki aaghosh mein
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 59)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.