hosh lazim hai ye majma aam hai
hosh lāzim hai ye majma.a aam hai
baam hai ai jalva-afgan baam hai
kyuuñ bayāñ kartā hai lazzāt-e-sahar
dekh ai rahrav abhī to shaam hai
ziist merī aur ye ayyām-e-firāq
ai ummīd-e-vasl terā kaam hai
ham ko nākām-e-mohabbat kyuuñ kaho
marg-e-nākāmī hamārā kaam hai
ab to aa jaao ki hai sub.h-e-firāq
ab to aa jaao ki merī shaam hai
shāhidoñ meñ bhī ishāre ham pe haiñ
āshiqoñ meñ bhī hamārā naam hai
parde vāloñ se taġhāful kā gila
kyuuñ karūñ jab lazzat-e-ālām hai
hādsāt-e-hijr meñ sar de diyā
vāqi.āt-e-dil kā sar-anjām hai
bismiloñ kā dil magar dekhā nahīñ
teġh ko kahte ho ḳhūñ-āshām hai
āshiqī aur aql kī pābandiyāñ
sach ye hai 'maikash' tumhārā kaam hai
hosh lazim hai ye majma aam hai
baam hai ai jalwa-afgan baam hai
kyun bayan karta hai lazzat-e-sahar
dekh ai rahraw abhi to sham hai
zist meri aur ye ayyam-e-firaq
ai ummid-e-wasl tera kaam hai
hum ko nakaam-e-mohabbat kyun kaho
marg-e-nakaami hamara kaam hai
ab to aa jao ki hai subh-e-firaq
ab to aa jao ki meri sham hai
shahidon mein bhi ishaare hum pe hain
aashiqon mein bhi hamara nam hai
parde walon se taghaful ka gila
kyun karun jab lazzat-e-alam hai
hadsat-e-hijr mein sar de diya
waqiat-e-dil ka sar-anjam hai
bismilon ka dil magar dekha nahin
tegh ko kahte ho KHun-asham hai
aashiqi aur aql ki pabandiyan
sach ye hai 'maikash' tumhaara kaam hai
- Book : Maikada (Pg. 39)
- Author : Maikash Akbarabadi
- Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.