jhum kar aaega sawan to mujhe KHat likhna
Interesting Fact
موسیٰ آزاد قوال کی آواز میں فلمی طرز پر لکھی ہوئی مقبولِ عام قوالی۔
jhuum kar aa.egā sāvan to mujhe ḳhat likhnā
bhiig jā.egā jo āñgan to mujhe ḳhat likhnā
mere mahbūb mirā pyār-bharā ḳhat paḌh kar
terā lahrā.egā tan-man to mujhe ḳhat likhnā
ai mirī jān-e-ġhazal merī amānat hai tū
tujh ko chheḌe koī dushman to mujhe ḳhat likhnā
chūḌiyoñ se tirī Takrā ke shab-e-ġham jānāñ
TuuT jā.eñge jo kañgan to mujhe ḳhat likhnā
merī betāb javānī kī tamannā hai ye
terā guzregā laḌakpan to mujhe ḳhat likhnā
tere kūche meñ ‘hunar’ aa.egā dūlhā ban kar
tum jo ban jāogī dulhan to mujhe ḳhat likhnā
jhum kar aaega sawan to mujhe KHat likhna
bhig jaega jo aangan to mujhe KHat likhna
mere mahbub mera pyar-bhara KHat paDh kar
tera lahraega tan-man to mujhe KHat likhna
ai meri jaan-e-ghazal meri amanat hai tu
tujh ko chheDe koi dushman to mujhe KHat likhna
chuDiyon se teri Takra ke shab-e-gham jaanan
TuT jaenge jo kangan to mujhe KHat likhna
meri betab jawani ki tamanna hai ye
tera guzrega laDakpan to mujhe KHat likhna
tere kuche mein ‘hunar’ aaega dulha ban kar
tum jo ban jaogi dulhan to mujhe KHat likhna
- Book : Moosa Azad Qawwal, Part 1 (Pg. 10)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.