ḳhushī mahsūs kartā huñ na ġham mahsūs kartā huñ
ḳhushī mahsūs kartā huuñ na ġham mahsūs kartā huuñ
magar haañ dil meñ kuchh kuchh zer-o-bam mahsūs kartā huuñ
mohabbat kī ye nairañgī bhī duniyā se nirālī hai
alam koī nahīñ lekin alam mahsūs kartā huuñ
mirī nazroñ meñ ab baaqī nahīñ hai zauq-e-kufr-o-dīñ
maiñ ik markaz pe ab dair-o-haram mahsūs kartā huuñ
jo lutf-e-zindagānī mil rahā thā ghaTtā jaatā hai
ḳhalish jo dil meñ rahtī thī vo kam mahsūs kartā huuñ
tumhāre zikr par kab munhasir hai dil kī betābī
kisī kā zikr ho maiñ chashm-e-nam mahsūs kartā huuñ
kabhī paatā huuñ dil meñ ek hashr-e-dard-e-betābī
kabhī maiñ apne dil meñ dard-o-ġham mahsūs kartā huuñ
zabāñ par merī shikva aa nahīñ saktā zamāne kā
ki har aalam ko maiñ un kā karam mahsūs kartā huuñ
ye dil meñ hai jo ghabrāhaT ye āñkhoñ meñ hai jo aañsū
is ehsāñ ko bhī bālā-e-karam mahsūs kartā huuñ
ḳhushī kī mujh ko ab bahzād kuchh hājat nahīñ baaqī
ki ġham ko bhī maiñ ab un kā karam mahsūs kartā huuñ
ḳhushī mahsūs kartā huñ na ġham mahsūs kartā huñ
magar hañ dil meñ kuchh kuchh zer-o-bam mahsūs kartā huñ
mohabbat kī ye nairañgī bhī duniyā se nirālī hai
alam koī nahīñ lekin alam mahsūs kartā huñ
mirī nazroñ meñ ab baqī nahīñ hai zauq-e-kufr-o-dīñ
maiñ ek markaz pe ab dair-o-haram mahsūs kartā huñ
jo lutf-e-zindagānī mil rahā thā ghaTtā jatā hai
ḳhalish jo dil meñ rahtī thī wo kam mahsūs kartā huñ
tumhāre zikr par kab munhasir hai dil kī betābī
kisī kā zikr ho maiñ chashm-e-nam mahsūs kartā huñ
kabhī patā huñ dil meñ ek hashr-e-dard-e-betābī
kabhī maiñ apne dil meñ dard-o-ġham mahsūs kartā huñ
zabāñ par merī shikwa aa nahīñ saktā zamāne kā
ki har aalam ko maiñ un kā karam mahsūs kartā huñ
ye dil meñ hai jo ghabrāhaT ye āñkhoñ meñ hai jo aañsū
is ehsāñ ko bhī bālā-e-karam mahsūs kartā huñ
ḳhushī kī mujh ko ab bahzād kuchh hājat nahīñ baqī
ki ġham ko bhī maiñ ab un kā karam mahsūs kartā huñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.