tujhe saqi-e-pir-e-mughan ki qasam wo baada-e-nab pila de mujhe
tujhe saqi-e-pir-e-mughan ki qasam wo baada-e-nab pila de mujhe
Ibrahim Aajiz
MORE BYIbrahim Aajiz
tujhe sāqī-e-pīr-e-muġhāñ kī qasam vo bāda-e-nāb pilā de mujhe
jo āb-e-hayāt ko maat kare ḳhizr-e-rah-e-ishq banā de mujhe
kahtā huuñ ye un ke tasavvur se ai dushman-e-hastī-e-vahmī
jab Thahrā maiñ ik mauj-e-ravāñ ḳhat-e-mauj kī tarah miTā de mujhe
vo marīz huuñ maiñ ki masīh ne aa mirā bushra hī dekh javāb diyā
mire dard kī kyā ho un se davā is dukh se ḳhudā hī shifā de mujhe
dam-e-marg bhī us ko nahīñ dekhā sū-e-mulk-e-adam liye shauq chalā
kaash ab bhī vo aa ke kafan ko haTā apnā ruḳhsār dikhā de mujhe
tirī zulf-e-dotā hī vo dām-e-balā kisī tarh jo aa kar us meñ phañsā
na huā vo marne par bhī rihā vo hai kaun jo us se chhuḌā de mujhe
koī jā ke ye kah de tirā kushta sar-e-rāh hai kūcha meñ tere paḌā
de rahm jo us ke dil meñ ḳhudā vahī ḳhaak meñ aa ke milā de mujhe
mire haal par ab kar rahm ḳhudā tire haath meñ haiñ sab arz-o-samā
ye hai 'ājiz'-e-āsī kī tujh se duā ki tū jaldī us se milā de mujhe
tujhe saqi-e-pir-e-mughan ki qasam wo baada-e-nab pila de mujhe
jo aab-e-hayat ko mat kare KHizr-e-rah-e-ishq bana de mujhe
kahta hun ye un ke tasawwur se ai dushman-e-hasti-e-wahmi
jab Thahra main ek mauj-e-rawan KHat-e-mauj ki tarah miTa de mujhe
wo mariz hun main ki masih ne aa mera bushra hi dekh jawab diya
mere dard ki kya ho un se dawa is dukh se KHuda hi shifa de mujhe
dam-e-marg bhi us ko nahin dekha su-e-mulk-e-adam liye shauq chala
kash ab bhi wo aa ke kafan ko haTa apna ruKHsar dikha de mujhe
teri zulf-e-dota hi wo dam-e-bala kisi tarh jo aa kar us mein phansa
na hua wo marne par bhi riha wo hai kaun jo us se chhuDa de mujhe
koi ja ke ye kah de tera kushta sar-e-rah hai kucha mein tere paDa
de rahm jo us ke dil mein KHuda wahi KHak mein aa ke mila de mujhe
mere haal par ab kar rahm KHuda tere hath mein hain sab arz-o-sama
ye hai 'ajiz'-e-asi ki tujh se dua ki tu jaldi us se mila de mujhe
- Book : Diwan-e-Ajiz Musamma Ba Faiz-e-Ruh-ul-Qudus (Pg. 69)
- Author : Ibrahim Ajiz
- Publication : Nami Press, Lucknow (1934)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.