khinche aate hain zahid masjidon se su-e-mai-KHana
khiñche aate haiñ zāhid masjidoñ se sū-e-mai-ḳhāna
kisī kī chashm-e-maigūñ kā rahe gardish meñ paimāna
tu apne ishq meñ aisā banā de mujh ko dīvāna
ki ābādī se vahshat ho karūñ ābād vīrāna
murīd-e-pīr-e-mai-ḳhāna hue qismat se ai nāseh
na jhāḌeñ shauq meñ palkoñ se ham kyuuñ sahn-e-mai-ḳhāna
jahān-e-be-ḳhudī meñ mastī-e-vahdat jo le jaaye
farishte leñ qadam mere vo huuñ maiñ riñd-e-mastāna
sunā hai maiñ ne ġhavvāsāne-dariyā-e-haqīqat se
vo hai bahr-e-do-ālam meñ durr-e-makūn-e-yak-dāna
janāb-e-ishq kī chashm-e-ināyat ne jise taakā
huā mard-e-yagāna chhūTe us se ḳhvesh-o-begāna
nazar aa.e jo ik jalva tirā dair-e-barahman meñ
to TuuTe shaiḳh kā taqvā ki qibla ho sanam-ḳhāna
qabā-e-zindagī hī tañg hai jab jism-e-insāñ par
to phir kyā fā.eda rakhne se sar par tāj-e-shāhāna
phañse haiñ qudsiyoñ ke dil rihā.ī ho nahīñ saktī
ki dām-e-zulf un ko ho gayā zanjīr kā daana
sarāpā de ke 'ājiz' naam karnā ishq-bāzoñ meñ
ki marne par tirā baaqī rahe duniyā meñ afsāna
khinche aate hain zahid masjidon se su-e-mai-KHana
kisi ki chashm-e-maigun ka rahe gardish mein paimana
tu apne ishq mein aisa bana de mujh ko diwana
ki aabaadi se wahshat ho karun aabaad virana
murid-e-pir-e-mai-KHana hue qismat se ai naseh
na jhaDen shauq mein palkon se hum kyun sahn-e-mai-KHana
jahan-e-be-KHudi mein masti-e-wahdat jo le jaye
farishte len qadam mere wo hun main rind-e-mastana
suna hai main ne ghawwasane-dariya-e-haqiqat se
wo hai bahr-e-do-alam mein durr-e-makun-e-yak-dana
janab-e-ishq ki chashm-e-inayat ne jise taka
hua mard-e-yagana chhuTe us se KHwesh-o-begana
nazar aae jo ek jalwa tera dair-e-barahman mein
to TuTe shaiKH ka taqwa ki qibla ho sanam-KHana
qaba-e-zindagi hi tang hai jab jism-e-insan par
to phir kya faeda rakhne se sar par taj-e-shahana
phanse hain qudsiyon ke dil rihai ho nahin sakti
ki dam-e-zulf un ko ho gaya zanjir ka dana
sarapa de ke 'ajiz' nam karna ishq-bazon mein
ki marne par tera baqi rahe duniya mein afsana
- Book : Diwan-e-Ajiz Musamma Ba Faiz-e-Ruh-ul-Qudus (Pg. 66)
- Author : Ibrahim Ajiz
- Publication : Nami Press, Lucknow
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.