dil hai wahi dil jis mein bhara nur-e-KHuda ho
dil hai vahī dil jis meñ bharā nūr-e-ḳhudā ho
sar hai vahī jo ka.aba-e-taslīm-o-razā ho
ai sarv-ḳhirāmāñ batā de mujhe kyā ho
raftār se terī jo qayāmat na bapā ho
bīmār-e-mohabbat kī agar laakh davā ho
mumkin hī nahīñ ye ki masīhā se shifā ho
bīmār-e-tap-e-ishq huuñ kab mujh ko shifā ho
juz vasl agar laakh davā aur duā ho
vallāh ki tum husn meñ yūsuf se sivā ho
hai chaah tumhārī mujhe par tum jise chāho
kyā manzil-e-maqsūd kī duurī ko batā.e
jo ḳhasta rah-e-ishq meñ ho ābla-pā ho
ġhairoñ meñ na maiñ arz-e-tamannā se rukuñgā
iġhmāz kare vo sar-e-mahfil ki ḳhafā ho
'ājiz' hai abas fikr-e-ma.īshat meñ pareshāñ
hogā vahī āḳhir jo muqaddar meñ likhā ho
pahuñchā de pas-e-marg merī ḳhaak uḌā kar
kūcha meñ jo us ke guzar ai bād-e-sabā ho
dil hai wahi dil jis mein bhara nur-e-KHuda ho
sar hai wahi jo kaba-e-taslim-o-raza ho
ai sarw-KHiraman bata de mujhe kya ho
raftar se teri jo qayamat na bapa ho
bimar-e-mohabbat ki agar lakh dawa ho
mumkin hi nahin ye ki masiha se shifa ho
bimar-e-tap-e-ishq hun kab mujh ko shifa ho
juz wasl agar lakh dawa aur dua ho
wallah ki tum husn mein yusuf se siwa ho
hai chah tumhaari mujhe par tum jise chaho
kya manzil-e-maqsud ki duri ko batae
jo KHasta rah-e-ishq mein ho aabla-pa ho
ghairon mein na main arz-e-tamanna se rukunga
ighmaz kare wo sar-e-mahfil ki KHafa ho
'ajiz' hai abas fikr-e-maishat mein pareshan
hoga wahi aaKHir jo muqaddar mein likha ho
pahuncha de pas-e-marg meri KHak uDa kar
kucha mein jo us ke guzar ai baad-e-saba ho
- Book : Diwan-e-Ajiz Musamma Ba Faiz-e-Ruh-ul-Qudus (Pg. 64)
- Author : Ibrahim Ajiz
- Publication : Nami Press, Lucknow (1934)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.