na kare zabt agar dida-e-giryan paida
na kare zabt agar dīda-e-giryāñ paidā
bārish-e-ashk se ho nuuh kā tūfāñ paidā
aa ke duniyā meñ sabhī karte haiñ sāmāñ paidā
le ke jaate haiñ kafan hote haiñ uryāñ paidā
karte haiñ shikva tirā gabr-o-musalmāñ donoñ
koī tujh sā nahīñ ġhārat-gar-e-īmāñ paidā
ruḳh-e-mahbūb kā ho dhyān jo tere dil meñ
ho garebāñ hī meñ tere gulistāñ paidā
ḳhalq ko chaah na hotī kabhī tere hote
is zamāna meñ jo hote mah-e-kan.āñ paidā
kis tarah arsh se mazmūn suḳhan-var laa.e
fikr-e-duniyā se to he tab.a meñ ḳhaljāñ paidā
aa ke is ġham-kada meñ rote haiñ sab ai 'ājiz'
hote dekhā hai kahīñ tifl ko ḳhandāñ paidā
na kare zabt agar dida-e-giryan paida
barish-e-ashk se ho nuh ka tufan paida
aa ke duniya mein sabhi karte hain saman paida
le ke jate hain kafan hote hain uryan paida
karte hain shikwa tera gabr-o-musalman donon
koi tujh sa nahin ghaarat-gar-e-iman paida
ruKH-e-mahbub ka ho dhyan jo tere dil mein
ho gareban hi mein tere gulistan paida
KHalq ko chah na hoti kabhī tere hote
is zamana mein jo hote mah-e-kanan paida
kis tarah arsh se mazmun suKHan-war lae
fikr-e-duniya se to he taba mein KHaljaan paida
aa ke is gham-kada mein rote hain sab ai 'ajiz'
hote dekha hai kahin tifl ko KHandan paida
- Book : Diwan-e-Ajiz Musamma Ba Faiz-e-Ruh-ul-Qudus (Pg. 51)
- Author : Ibrahim Ajiz
- Publication : Nami Press, Lucknow (1934)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.