ganj-e-qarun ko karen KHak-barabar na shumar
ganj-e-qārūñ ko kareñ ḳhāk-barābar na shumār
āshiqoñ ke liye iksīr hai ḳhāk-e-dayār
roz-e-raushan na ho kyuuñ vasl meñ shab-e-tār
aap kā rū-e-kitābī to hai nūr-ul-anvār
varaq-e-barg-e-saman par qalam-e-nargis se
naama us gul ko jo likkhūñ to baḳht-e-gulzār
naaz iisā ko hai apnī masīhā.ī par
un se achchhā na huā koī tumhārā bīmār
dil-e-sad-chāk se aa.ī ye sadā kānoñ meñ
rah tū sargarm-e-talab raah meñ himmat ko na haar
iid se bhī kahīñ baḌh kar hai ḳhushī aalam meñ
jab se mash.hūr huī hai ḳhabar-e-āmad-e-yār
aane do vasl kī shab ḳhuub maze lūTeñge
ab kī hogā nahīñ us se faqat bos-o-kanār
ḳhat-e-tovām kī tarah un se lipaT jā.eñge
ham na māneñge kabhī laakh kareñ vo inkār
maskan-e-'ājiz'-e-miskīñ hai 'barāhīm'-maqām
ka.aba kī tarah ziyārat kareñ aa kar zavvār
ganj-e-qarun ko karen KHak-barabar na shumar
aashiqon ke liye iksir hai KHak-e-dayar
roz-e-raushan na ho kyun wasl mein shab-e-tar
aap ka ru-e-kitabi to hai nur-ul-anwar
waraq-e-barg-e-saman par qalam-e-nargis se
nama us gul ko jo likkhun to baKHt-e-gulzar
naz isa ko hai apnī masihai par
un se achchha na hua koi tumhaara bimar
dil-e-sad-chaak se aai ye sada kanon mein
rah tu sargarm-e-talab rah mein himmat ko na haar
id se bhi kahin baDh kar hai KHushi aalam mein
jab se mashhur hui hai KHabar-e-amad-e-yar
aane do wasl ki shab KHub maze luTenge
ab ki hoga nahin us se faqat bos-o-kanar
KHat-e-towam ki tarah un se lipaT jaenge
hum na manenge kabhī lakh karen wo inkar
maskan-e-'ajiz'-e-miskin hai 'barahim'-maqam
kaba ki tarah ziyarat karen aa kar zawwar
- Book : Diwan-e-Ajiz Musamma Ba Faiz-e-Ruh-ul-Qudus (Pg. 58)
- Author : Ibrahim Ajiz
- Publication : Nami Press, Lucknow (1934)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.