husn shaida hai kisi ke aariz-e-pur-nur par
husn shaidā hai kisī ke āriz-e-pur-nūr par
kyuuñ na phir sadqe hoñ pariyāñ aise rashk-e-hūr par
kyā nazar kī ho rasā.ī qudsiyān-e-āsmāñ
hai jhuke parvāna saañ sham.a-e-ruḳh-e-pur-nūr par
allāh allāh ā.īna vo dekh kar farmāte haiñ
zulf-e-āriz par nahīñ hai mushk hai kāfūr par
vaah ai barq-e-tajallī mujh se ye dāman-kashī
hosh-e-mūsā ko jalāyā tū ne koh-e-tūr par
zaḳhm-e-ḳhandāñ shukr meñ masrūf hai ai chāragar
jab se phāhā tū ne rakhā siina ke nāsūr par
vo ruḳh-e-raushan hai sham.a tūr-qad hai naḳhl-e-tūr
nuur ke do qumqume tābāñ haiñ naḳhl-e-tūr par
us ke kūcha-gard kyā samjheñ zar-o-daulat ko maal
ta.ana-zan adnā gadā hai qaisar-o-faġhfūr par
fānī-e-haq kā anā kyā thā anā fir.aun kā
daar kī ta.azīr kyuuñ vājib huī mansūr par
zohd-e-sad-sāla huā hai jab na ho tā.īd-e-haq
Daalo ibrat kī nazar tum bal.am-e-bā.ūr par
kushtagān-e-shauq 'ājiz' gosh-bar-āvāz haiñ
vāda-e-dīdār Thahrā hai jo shor-e-sūr par
husn shaida hai kisi ke aariz-e-pur-nur par
kyun na phir sadqe hon pariyan aise rashk-e-hur par
kya nazar ki ho rasai qudsiyan-e-asman
hai jhuke parwana san shama-e-ruKH-e-pur-nur par
allah allah aaina wo dekh kar farmate hain
zulf-e-ariz par nahin hai mushk hai kafur par
wah ai barq-e-tajalli mujh se ye daman-kashi
hosh-e-musa ko jalaya tu ne koh-e-tur par
zaKHm-e-KHandan shukr mein masruf hai ai chaaragar
jab se phaha tu ne rakha sina ke nasur par
wo ruKH-e-raushan hai shama tur-qad hai naKHl-e-tur
nur ke do qumqume taban hain naKHl-e-tur par
us ke kucha-gard kya samjhen zar-o-daulat ko mal
tana-zan adna gada hai qaisar-o-faghfur par
fani-e-haq ka ana kya tha ana firaun ka
dar ki tazir kyun wajib hui mansur par
zohd-e-sad-sala hua hai jab na ho taid-e-haq
Dalo ibrat ki nazar tum balam-e-baur par
kushtagan-e-shauq 'ajiz' gosh-bar-awaz hain
wada-e-didar Thahra hai jo shor-e-sur par
- Book : Diwan-e-Ajiz Musamma Ba Faiz-e-Ruh-ul-Qudus (Pg. 57)
- Author : Ibrahim Ajiz
- Publication : Nami Press, Lucknow (1934)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.