aap ki chashm-e-karam ka jab ishaara ho gaya
aap kī chashm-e-karam kā jab ishārā ho gayā
ġham jo mere dil meñ thā vo no do gyārah ho gayā
āḳhirash kis ne ye ulTī apne chehre se naqāb
zarā nā-ḳhūb bhī dilkash nazāra ho gayā
inqalāb-e-nau kahoge us ko yā qismat kā khel
kal talak jo thā hamārā vo tumhārā ho gayā
yuuñ dil-e-nāzuk ko mere tum ne pahuñchā.ī hai Thes
ek shīshe kī tarah vo pāra-pāra ho gayā
jān-e-jāñ itnā huā terī judā.ī kā asar
ek ik aañsū mirī āñkhoñ kā taara ho gayā
mujh ko ġham is baat kā hai vo kisī kā bhī nahīñ
mujh ko ġham is kā nahīñ ki vo tumhārā ho gayā
aap ki chashm-e-karam ka jab ishaara ho gaya
gham jo mere dil mein tha wo no do gyarah ho gaya
aaKHirash kis ne ye ulTi apne chehre se naqab
zara na-KHub bhi dilkash nazara ho gaya
inqalab-e-nau kahoge us ko ya qismat ka khel
kal talak jo tha hamara wo tumhaara ho gaya
yun dil-e-nazuk ko mere tum ne pahunchai hai Thes
ek shishe ki tarah wo para-para ho gaya
jaan-e-jaan itna hua teri judai ka asar
ek ek aansu meri aankhon ka tara ho gaya
mujh ko gham is baat ka hai wo kisi ka bhi nahin
mujh ko gham is ka nahin ki wo tumhaara ho gaya
- Book : Maghz-e-Sukhan (Pg. 85)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.