idhar bhi ek nazar o shahzade
Interesting Fact
(علمی مجلس حصہ پنجم)
idhar bhī ik nazar o shāhzāde
tujhe allāh duunā chau-gunā de
mire kho.e hue dil kā patā de
tū muTThī khol de zulfeñ hilā de
tire gāloñ se phir ye rañg laayā
tamāñcha phuul ke muñh par lagā de
mazā aa.e agar vaa.iz ke muñh meñ
koī mai-ḳhvār thoḌī sī chuvā de
ye baḌh kar duḳht-e-raz zāhid se bolī
jo tauba toḌ duuñ terī to kyā de
vo kam-sin shoḳh hai yārab mujhe bhī
tabī.at shoḳh de dil chulbulā de
maze aa.e ye bosoñ ke shab-e-vasl
kahā us ne ki le maiñ ne kahā de
butoñ ke zulm kā shikva hai be-sūd
ki un kī ek chup sau ko harā de
kahāñ thā raat kis ke paas thā raat
zarā 'akbar' se āñkheñ to milā de
idhar bhi ek nazar o shahzade
tujhe allah duna chau-guna de
mere khoe hue dil ka pata de
tu muTThi khol de zulfen hila de
tere galon se phir ye rang laya
tamancha phul ke munh par laga de
maza aae agar waiz ke munh mein
koi mai-KHwar thoDi si chuwa de
ye baDh kar duKHt-e-raz zahid se boli
jo tauba toD dun teri to kya de
wo kam-sin shoKH hai yarab mujhe bhi
tabiat shoKH de dil chulbula de
maze aae ye boson ke shab-e-wasl
kaha us ne ki le main ne kaha de
buton ke zulm ka shikwa hai be-sud
ki un ki ek chup sau ko hara de
kahan tha raat kis ke pas tha raat
zara 'akbar' se aankhen to mila de
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 131)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.