idhar dekh lena udhar dekh lena
idhar dekh lena udhar dekh lena
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
idhar dekh lenā udhar dekh lenā
phir un kā mujhe ik nazar dekh lenā
dikhā.eñgī aaheñ asar dekh lenā
vo ā.eñge thāme jigar dekh lenā
unheñ ik nazar chashm-e-tar dekh lenā
rulā.egā ḳhuuñ 'umr-bhar dekh lenā
in aahoñ kā merī asar dekh lenā
do-'ālam ko zer-o-zabar dekh lenā
ġhazab hai ġhazab hai are uf ġhazab hai
tirā muskurā kar idhar dekh lenā
bapā dil meñ karatā hai ik hashr-e-armāñ
adā se tirā ik nazar dekh lenā
ye kar de na 'majzūb' mahrūm-e-sajda
unheñ chār-sū jalva-gar dekh lenā
idhar dekh lena udhar dekh lena
phir un ka mujhe ek nazar dekh lena
dikhaengi aahen asar dekh lena
wo aaenge thame jigar dekh lena
unhen ek nazar chashm-e-tar dekh lena
rulaega KHun 'umr-bhar dekh lena
in aahon ka meri asar dekh lena
do-'alam ko zer-o-zabar dekh lena
ghazab hai ghazab hai are uf ghazab hai
tera muskura kar idhar dekh lena
bapa dil mein karata hai ek hashr-e-arman
ada se tera ek nazar dekh lena
ye kar de na 'majzub' mahrum-e-sajda
unhen chaar-su jalwa-gar dekh lena
- Book : Gufta-e-Majzoob (Pg. 138)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.