miyan sang-o-aina dalil-e-motabar rakh di
miyāñ sañg-o-ā.īna dalīl-e-mo'tabar rakh dī
kahīñ dil rakh diyā apnā kahīñ apnī nazar rakh dī
añdheroñ ne shikast-e-fāsh de dī hai ujāloñ ko
jabīn-e-lauh par ye vaqt ne kaisī ḳhabar rakh dī
makān-o-lā-makāñ ik lafz-e-kun kī kārsāzī haiñ
usī ik lafz ne goyā banā-e-kHair-o-shar rakh dī
junūn-e-shauq merā le to aayā mujh ko manzil tak
magar taqdīr ne dāman meñ kuchh gard-e-safar rakh dī
safar se lauT kar aayā to kuchh aisā lagā mujh ko
mere qadmoñ ke nīche phir kisī ne rahguzar rakh dī
mirī vīrāniyoñ ko jis ke jalvoñ kā sahārā thā
havāoñ ne vo ik tasavvur gul bhī phaaḌ kar rakh dī
ba-qadr-e-hosh ai ‘qaisar’ bas itnā yaad hai mujh ko
mirī nazroñ ne koī shai uThā kar taaq par rakh dī
miyan sang-o-aina dalil-e-mo'tabar rakh di
kahin dil rakh diya apna kahin apni nazar rakh di
andheron ne shikast-e-fash de di hai ujalon ko
jabin-e-lauh par ye waqt ne kaisi KHabar rakh di
makan-o-la-makan ek lafz-e-kun ki karsazi hain
usi ek lafz ne goya bana-e-kHair-o-shar rakh di
junun-e-shauq mera le to aaya mujh ko manzil tak
magar taqdir ne daman mein kuchh gard-e-safar rakh di
safar se lauT kar aaya to kuchh aisa laga mujh ko
mere qadmon ke niche phir kisi ne rahguzar rakh di
meri viraniyon ko jis ke jalwon ka sahaara tha
hawaon ne wo ek tasawwur gul bhi phaD kar rakh di
ba-qadr-e-hosh ai ‘qaisar’ bas itna yaad hai mujh ko
meri nazron ne koi shai uTha kar taq par rakh di
- Book : Sho.raa-E-Samastipur (Pg. 35)
- Author : Bismil Aarfii-Asfaq Qalq
- Publication : New Print Center (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.