ek aan sambhalte nahin ab mere sambhaale
ik aan sambhalte nahīñ ab mere sambhāle
be-tarah kuchh in āñsuoñ ne paañv nikāle
jo kuchh ki dikhāvegā ḳhudā dekheñge nā-chār
sadqe tire ik baar tū muñh apnā dikhā le
aise se koī apne ta.iiñ kyūñki bachāve
dil zulfoñ se bach jaa.e to āñkhoñ se churā le
vo surḳh libās us ke gale meñ nazar aayā
jis ke haiñ mere dil meñ paḌe ab ta.iiñ laale
kab tujh pe guzartā hai kabhū merā sā ahvāl
yuuñ chāhe so tū aur bhī kuchh bāteñ banā le
kyā jāniye kis dil ke ta.iiñ aah Daseñge
zulfoñ ne to be-tarah ye ab chhoḌe haiñ kaale
phir aage qiyāmat hai agar ab bhī na aao
mar miT ke judā.ī ke din itne to haiñ Taale
abrū ne tirī jis taraf ab teġh sambhālī
mizhgāñ ne vahīñ kar diye tab sāmne bhāle
va.ade kī to muddat na kahī 'dard' kuchh us ne
is ġham ko bhalā kahiye koī kab ta.iiñ Taale
ek aan sambhalte nahin ab mere sambhaale
be-tarah kuchh in aansuon ne panw nikale
jo kuchh ki dikhawega KHuda dekhenge na-chaar
sadqe tere ek bar tu munh apna dikha le
aise se koi apne tain kyunki bachawe
dil zulfon se bach jae to aankhon se chura le
wo surKH libas us ke gale mein nazar aaya
jis ke hain mere dil mein paDe ab tain lale
kab tujh pe guzarta hai kabhu mera sa ahwal
yun chahe so tu aur bhi kuchh baaten bana le
kya jaaniye kis dil ke tain aah Dasenge
zulfon ne to be-tarah ye ab chhoDe hain kale
phir aage qiyamat hai agar ab bhi na aao
mar miT ke judai ke din itne to hain Tale
abru ne teri jis taraf ab tegh sambhaali
mizhgan ne wahin kar diye tab samne bhaale
wade ki to muddat na kahi 'dard' kuchh us ne
is gham ko bhala kahiye koi kab tain Tale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.