Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ek be-wafā ko pyar kiyā hae kyā kiyā

Behzad Lakhnavi

ek be-wafā ko pyar kiyā hae kyā kiyā

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    ik be-vafā ko pyaar kiyā haa.e kyā kiyā

    ḳhud dil ko be-qarār kiyā haa.e kyā kiyā

    mālūm thā ki ahd-e-vafā un jhuuT hai

    is par bhī e'tibār kiyā haa.e kyā kiyā

    vo dil ki jis pe qīmat-e-kaunain thī nisār

    nazr-e-nigāh-e-yār kiyā haa.e kyā kiyā

    ḳhud ham ne faash faash kiyā rāz-e-āshiqī

    dāman ko taar taar kiyā haa.e kyā kiyā

    aaheñ bhī baar baar bharīñ un ke hijr meñ

    naala bhī baar baar kiyā haa.e kyā kiyā

    miTne ġham nahīñ hai bas itnā malāl

    kyuuñ terā intizār kiyā haa.e kyā kiyā

    ham ne to ġham ko siine se apne lagā liyā

    ġham ne hameñ shikār kiyā haa.e kyā kiyā

    sayyād razā ye ham aañsū na sake

    uzr-e-ġham-bahār kiyā haa.e kyā kiyā

    qismat ne aah ham ko ye din bhī dikhā diye

    qismat pe e'tibār kiyā haa.e kyā kiyā

    rañgīnī-e-ḳhayāl se kuchh bhī na bach sakā

    har shai ko pur-bahār kiyā haa.e kyā kiyā

    dil ne bhulā bhulā ke tirī bevafā.iyāñ

    phir ahd ustuvār kiyā haa.e kyā kiyā

    un ke sitam bhī sah ke na un se kiyā gila

    kyuuñ jabr iḳhtiyār kiyā haa.e kyā kiyā

    kāfir chashm-e-nāz pe kyā dil-jigar zikr

    īmān tak nisār kiyā haa.e kyā kiyā

    kaalī ghaTā ke uThte tauba na rah sakī

    tauba pe e'tibār kiyā haa.e kyā kiyā

    shām-e-firāq qalb ke dāġhoñ ko gin liyā

    tāroñ ko bhī shumār kiyā haa.e kyā kiyā

    'bahzād' na qadar koī tum ko ho sakī

    tum ne zalīl-o-ḳhvār kyā haa.e kyā kiyā

    ek be-wafā ko pyar kiyā hae kyā kiyā

    ḳhud dil ko be-qarār kiyā hae kyā kiyā

    mālūm thā ki ahd-e-wafā un jhuT hai

    is par bhī e'tibār kiyā hae kyā kiyā

    wo dil ki jis pe qīmat-e-kaunain thī nisār

    nazr-e-nigāh-e-yār kiyā hae kyā kiyā

    ḳhud hum ne fash fash kiyā rāz-e-āshiqī

    dāman ko tar tar kiyā hae kyā kiyā

    aaheñ bhī bar bar bharīñ un ke hijr meñ

    nala bhī bar bar kiyā hae kyā kiyā

    miTne ġham nahīñ hai bas itnā malāl

    kyuñ terā intizār kiyā hae kyā kiyā

    hum ne to ġham ko sine se apne lagā liyā

    ġham ne hameñ shikār kiyā hae kyā kiyā

    sayyād razā ye hum aañsū na sake

    uzr-e-ġham-bahār kiyā hae kyā kiyā

    qismat ne aah hum ko ye din bhī dikhā diye

    qismat pe e'tibār kiyā hae kyā kiyā

    rañgīnī-e-ḳhayāl se kuchh bhī na bach sakā

    har shai ko pur-bahār kiyā hae kyā kiyā

    dil ne bhulā bhulā ke tirī bewafāiyāñ

    phir ahd ustuwār kiyā hae kyā kiyā

    un ke sitam bhī sah ke na un se kiyā gila

    kyuñ jabr iḳhtiyār kiyā hae kyā kiyā

    kāfir chashm-e-nāz pe kyā dil-jigar zikr

    īmān tak nisār kiyā hae kyā kiyā

    kalī ghaTā ke uThte tauba na rah sakī

    tauba pe e'tibār kiyā hae kyā kiyā

    shām-e-firāq qalb ke dāġhoñ ko gin liyā

    tāroñ ko bhī shumār kiyā hae kyā kiyā

    'bahzād' na qadar koī tum ko ho sakī

    tum ne zalīl-o-ḳhwār kyā hae kyā kiyā

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now