ik jahāñ dīvāna us zulf dotā kā ho gyā
ibtidā hī meñ ye saudā intihā kā ho gayā
aap ko khoyā magar juuyā ḳhudā kā ho gayā
raaz jis par munkashif fikr-o-fanā kā ho gayā
ham ko bhī āḳhir huzūr-e-qalb hove gā kabhī
arz kar leñge jo mauqa iltijā kā ho gayā
haa.il nazzāra-e-dīdār kyā ho gī naqāb
duur parda jis ghaḌī sharm-o-hayā kā ho gayā
marte haiñ bīmār-e-ulfat muttasil ab ai masīh
band darvāza magar dārushshifā kā ho gayā
us nigāh-e-tez se dil ho gayā jis dam do-chār
maiñ ne jaanā sāmnā tīr-e-qazā kā ho gayā
huur ke ġhamze use jannat meñ ḳhush aate nahii.
ai parī-rū kushta jo terī adā kā ho gayā
yaad meñ us raast qāmat ke jo kī faryād 'rind'
maah qad baalā alif āḳhir nidā kā ho gayā
ek jahan diwana us zulf dota ka ho gya
ibtida hi mein ye sauda intiha ka ho gaya
aap ko khoya magar juya KHuda ka ho gaya
raaz jis par munkashif fikr-o-fana ka ho gaya
hum ko bhi aaKHir huzur-e-qalb howe ga kabhi
arz kar lenge jo mauqa iltija ka ho gaya
hail nazzara-e-didar kya ho gi naqab
dur parda jis ghaDi sharm-o-haya ka ho gaya
marte hain bimar-e-ulfat muttasil ab ai masih
band darwaza magar darushshifa ka ho gaya
us nigah-e-tez se dil ho gaya jis dam do-chaar
main ne jaana samna tir-e-qaza ka ho gaya
hur ke ghamze use jannat mein KHush aate nahi
ai pari-ru kushta jo teri ada ka ho gaya
yaad mein us rast qamat ke jo ki faryaad 'rind'
mah qad baala alif aaKHir nida ka ho gaya
Source :
- Book : Deewan-e-Rind (Pg. 27)
- Author : Sayyed Mohammad Khan Rind
-
Publication : Munshi Nawal Kishor, Lucknow
(1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.