hamein hai shauq paDhne ka ye hai ek fazl-e-rabbani
hamein hai shauq paDhne ka ye hai ek fazl-e-rabbani
Ikramuddin Usmani
MORE BYIkramuddin Usmani
hameñ hai shauq paḌhne kā ye hai ik fazl-e-rabbānī
agar kheleñ to kyuuñ kheleñ na kuchh aanī na kuchh jaanī
uThāne sar nahīñ detī hai 'isyāñ kī farāvānī
madad kiije madad kiije merī mahbūb-e-yazdānī
hameñ duniyā kā kuchh ġham hai na ham ko fikr-e-’uqbā hai
hamāre sar pe haiñ sāya-figan mahbūb-e-yazdānī
bachānā merī kashtī kā tumhāre haath hai hazrat
ki dariyā-e-gunah kā sar se ūñchā chaḌh gayā paanī
ham ai 'akram' mohammad mustafā ke nām-levā haiñ
hamārī mushkileñ ho jā.eñgī hal sab ba-āsānī
hamein hai shauq paDhne ka ye hai ek fazl-e-rabbani
agar khelen to kyun khelen na kuchh aani na kuchh jaani
uThane sar nahin deti hai 'isyan ki farawani
madad kije madad kije meri mahbub-e-yazdani
hamein duniya ka kuchh gham hai na hum ko fikr-e-’uqba hai
hamare sar pe hain saya-figan mahbub-e-yazdani
bachana meri kashti ka tumhaare hath hai hazrat
ki dariya-e-gunah ka sar se uncha chaDh gaya pani
hum ai 'akram' mohammad mustafa ke nam-lewa hain
hamari mushkilen ho jaengi hal sab ba-asani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.