jo kuchh sote sote KHabar ho gai
jo kuchh sote sote ḳhabar ho ga.ī
khulī aañkh dekhā sahar ho ga.ī
musaffā ye ḳhāk-e-kadir ho ga.ī
ki māvā-e-nūr-ul-basar ho ga.ī
ajal se Darātā hai kyā mujh ko shaiḳh
vo sau baar ḳhud mere ghar ho ga.ī
sunā jab se maiñ ne alā sūratihi
to kuchh merī sūrat digar ho ga.ī
ye karne lagī dil kī ġhammāziyāñ
zabāñ qābil-e-al-hazar ho ga.ī
banī ye bhī roTī kamāne kī shakl
faqīrī bhī 'ulvī' hunar ho ga.ī
jo kuchh sote sote KHabar ho gai
khuli aankh dekha sahar ho gai
musaffa ye KHak-e-kadir ho gai
ki mawa-e-nur-ul-basar ho gai
ajal se Daraata hai kya mujh ko shaiKH
wo sau bar KHud mere ghar ho gai
suna jab se main ne ala suratihi
to kuchh meri surat digar ho gai
ye karne lagi dil ki ghammaziyan
zaban qabil-e-al-hazar ho gai
bani ye bhi roTi kamane ki shakl
faqiri bhi 'ulwi' hunar ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.