yar tha mujh mein ayan ye mujhe malum na tha
yar tha mujh mein ayan ye mujhe malum na tha
Imtiyaz Hussain Waqif
MORE BYImtiyaz Hussain Waqif
yaar thā mujh meñ 'ayāñ ye mujhe mā'lūm na thā
thā sarāpā maiñ nihāñ ye mujhe mā'lūm na thā
haram-o-dair meñ thā zāt-e-mubārak kā zuhūr
thā vahī jalva-kunāñ ye mujhe mā'lūm na thā
tū hī bā'is huā mansūr ke haq kahne kā
tū hī thā us kī zabāñ ye mujhe mā'lūm na thā
maiñ na thā yaar thā aur yaar kā jalva maiñ thā
thā 'abas vahm-o-gumāñ ye mujhe mā'lūm na thā
kho gayā maiñ to milā us kā pata apne meñ
be-nishānī thī nishāñ ye mujhe mā'lūm na thā
masjid-o-dair meñ kyuuñ dil ke sivā kī thī talāsh
thā vo mā'shūq yahāñ ye mujhe mā'lūm na thā
jā ke kā'ba ko thakā DhūñD chukā mandir meñ
thā baġhal meñ vo nihāñ ye mujhe mā'lūm na thā
'vāqif' us vādī-e-hastī meñ mujhe laayā kyuuñ
ḳhuld thā merā makāñ ye mujhe mā'lūm na thā
yar tha mujh mein 'ayan ye mujhe ma'lum na tha
tha sarapa main nihan ye mujhe ma'lum na tha
haram-o-dair mein tha zat-e-mubarak ka zuhur
tha wahi jalwa-kunan ye mujhe ma'lum na tha
tu hi ba'is hua mansur ke haq kahne ka
tu hi tha us ki zaban ye mujhe ma'lum na tha
main na tha yar tha aur yar ka jalwa main tha
tha 'abas wahm-o-guman ye mujhe ma'lum na tha
kho gaya main to mila us ka pata apne mein
be-nishani thi nishan ye mujhe ma'lum na tha
masjid-o-dair mein kyun dil ke siwa ki thi talash
tha wo ma'shuq yahan ye mujhe ma'lum na tha
ja ke ka'ba ko thaka DhunD chuka mandir mein
tha baghal mein wo nihan ye mujhe ma'lum na tha
'waqif' us wadi-e-hasti mein mujhe laya kyun
KHuld tha mera makan ye mujhe ma'lum na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.