mujhko apne ishq mein ruswa kiya
mujh ko apne 'ishq meñ rusvā kiyā
jo kiyā tuune bahut achchhā kiyā
kyā dikhāyā qadd-e-mauzūñ aap ne
sarv ko gulzār meñ sīdhā kiyā
be-hijābāna rahe tum ġhair se
apne mahram se magar pardā kiyā
ro diyā mahfil meñ un ko dekh kar
merī āñkhoñ ne mujhe rusvā kiyā
jalva-ārā sūrat-e-ādam meñ thā
sab farishtoñ ne tujhe sajda kiyā
hai sitam terā karam mere liye
maiñ ne kab is baat kā shikvā kiyā
ho gayā 'vāqif' halāk-e-teġh-e-nāz
āshnā kaisā thā tum ne kyā kiyā
mujh ko apne 'ishq mein ruswa kiya
jo kiya tune bahut achchha kiya
kya dikhaya qadd-e-mauzun aap ne
sarw ko gulzar mein sidha kiya
be-hijabana rahe tum ghair se
apne mahram se magar parda kiya
ro diya mahfil mein un ko dekh kar
meri aankhon ne mujhe ruswa kiya
jalwa-ara surat-e-adam mein tha
sab farishton ne tujhe sajda kiya
hai sitam tera karam mere liye
main ne kab is baat ka shikwa kiya
ho gaya 'waqif' halak-e-tegh-e-naz
aashna kaisa tha tum ne kya kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.