hai jo dil mein ek yagane ka KHayal
hai jo dil meñ ik yagāne kā ḳhayāl
miT gayā saare zamāne kā ḳhayāl
ek shab vo aa to jaa.eñ ḳhvāb meñ
paañv par hai sar jhukāne kā ḳhayāl
rahne diije apnī kūcha meñ kahīñ
chāhiye mujh be-Thikāne kā ḳhayāl
apne dam ko tū ġhanīmat jaan le
rakh nafas ke aane jaane kā ḳhayāl
lan-tarānī vo sunāte haiñ mujhe
hai jo dar-parda jalāne kā ḳhayāl
jān-o-dil donoñ nisār un par karūñ
hai agar ghar mere aane kā ḳhayāl
hai tasavvur kūcha-e-mā'shūq kā
mujh ko hai jannat meñ jaane kā ḳhayāl
vo bulā le paas agar 'vāqif' mujhe
qissa-e-dil hai sunāne kā ḳhayāl
hai jo dil mein ek yagane ka KHayal
miT gaya sare zamane ka KHayal
ek shab wo aa to jaen KHwab mein
panw par hai sar jhukane ka KHayal
rahne dije apni kucha mein kahin
chahiye mujh be-Thikane ka KHayal
apne dam ko tu ghanimat jaan le
rakh nafas ke aane jaane ka KHayal
lan-tarani wo sunate hain mujhe
hai jo dar-parda jalane ka KHayal
jaan-o-dil donon nisar un par karun
hai agar ghar mere aane ka KHayal
hai tasawwur kucha-e-ma'shuq ka
mujh ko hai jannat mein jaane ka KHayal
wo bula le pas agar 'waqif' mujhe
qissa-e-dil hai sunane ka KHayal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.