Sufinama

jaan-e-jaan-e-ashiqan dekha tumhein

Imtiyaz Hussain Waqif

jaan-e-jaan-e-ashiqan dekha tumhein

Imtiyaz Hussain Waqif

MORE BYImtiyaz Hussain Waqif

    jān-e-jān-e-'āshiqāñ dekhā tumheñ

    marham-e-zaḳhm-e-nihāñ dekhā tumheñ

    hai tumhārā har jagah nūr-o-zuhūr

    kyā batā.ūñ maiñ kahāñ dekhā tumheñ

    maar Daalā aur zinda bhī kiyā

    mehrbāñ nā-mehrbāñ dekhā tumheñ

    tum ko paayā ham ne sultān-e-'arab

    dilbar-e-hindostāñ dekhā tumheñ

    sauma’a meñ mai-kade meñ dair meñ

    ik tumhīñ nikle jahāñ dekhā tumheñ

    aa.ī bairañgī tumhāre rañg meñ

    sad-bahār-e-gulsitāñ dekhā tumheñ

    hai tumhīñ se jumla ashiyā vajūd

    sab meñ paidā vo nihāñ dekhā tumheñ

    jo tumhāre raaz se 'vāqif' huā

    har kisī meñ be-gumāñ dekhā tumheñ

    jaan-e-jaan-e-'ashiqan dekha tumhein

    marham-e-zaKHm-e-nihan dekha tumhein

    hai tumhaara har jagah nur-o-zuhur

    kya bataun main kahan dekha tumhein

    mar Dala aur zinda bhi kiya

    mehrban na-mehrban dekha tumhein

    tum ko paya hum ne sultan-e-'arab

    dilbar-e-hindostan dekha tumhein

    sauma’a mein mai-kade mein dair mein

    ek tumhin nikle jahan dekha tumhein

    aai bairangi tumhaare rang mein

    sad-bahaar-e-gulsitan dekha tumhein

    hai tumhin se jumla ashiya ka wajud

    sab mein paida wo nihan dekha tumhein

    jo tumhaare raaz se 'waqif' hua

    har kisi mein be-guman dekha tumhein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now