har jagah hun kahan nahin hun main
har jagah huuñ kahāñ nahīñ huuñ maiñ
jalva-gar huuñ nihāñ nahīñ huuñ maiñ
be-kam-o-kaif zaat merī hai
par chunīn-o-chunāñ nahīñ huuñ maiñ
har jagah mānte haiñ sab mujh ko
ḳhud yaqīñ huuñ gumāñ nahīñ huuñ maiñ
maiñ huuñ had-e-quyūd se bāhar
lā-makāñ huuñ makāñ nahīñ huuñ maiñ
muzmahil mere sāmne hai sab
be-nishāñ huuñ nishāñ nahīñ huuñ maiñ
dair-o-kā'ba mujhī se raushan hai
kyā yahāñ kyā vahāñ nahīñ huuñ maiñ
hai yahī baat dhyān maiñ 'vāqif'
vahī sab kuchh haañ nahīñ huuñ maiñ
har jagah hun kahan nahin hun main
jalwa-gar hun nihan nahin hun main
be-kam-o-kaif zat meri hai
par chunin-o-chunan nahin hun main
har jagah mante hain sab mujh ko
KHud yaqin hun guman nahin hun main
main hun had-e-quyud se bahar
la-makan hun makan nahin hun main
muzmahil mere samne hai sab
be-nishan hun nishan nahin hun main
dair-o-ka'ba mujhi se raushan hai
kya yahan kya wahan nahin hun main
hai yahi baat dhyan main 'waqif'
wahi sab kuchh han nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.