KHalq mein jalwa-kunan main hi to hun
ḳhalq meñ jalva-kunāñ maiñ hī to huuñ
sab kī āñkhoñ se nihāñ maiñ hī to huuñ
qais kī tasvīr huuñ lailā kī shakl
har kisī kā rāz-dāñ maiñ hī to huuñ
bhūle-bhaTkoñ kā banā huuñ rahnumā
naqsh-pā-e-kārvāñ maiñ hī to huuñ
jo anā kā shor thā mansūr meñ
haq ye hai us kī zabāñ maiñ hī to huuñ
dekhtā huuñ aap maiñ apnā jamāl
maujid-e-kaun-o-makāñ maiñ hī to huuñ
sab maiñ huuñ aur sab se rahtā huuñ judā
bā-nishāñ-o-be-nishāñ maiñ hī to huuñ
kaun hai āgāh mere haal se
'vāqif'-e-rāz-e-nihāñ maiñ hī to huuñ
KHalq mein jalwa-kunan main hi to hun
sab ki aankhon se nihan main hi to hun
qais ki taswir hun laila ki shakl
har kisi ka raaz-dan main hi to hun
bhule-bhaTkon ka bana hun rahnuma
naqsh-pa-e-karwan main hi to hun
jo ana ka shor tha mansur mein
haq ye hai us ki zaban main hi to hun
dekhta hun aap main apna jamal
maujid-e-kaun-o-makan main hi to hun
sab main hun aur sab se rahta hun juda
ba-nishan-o-be-nishan main hi to hun
kaun hai aagah mere haal se
'waqif'-e-raaz-e-nihan main hi to hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.