wahi har-ja bahaar-e-gulistan hai
vahī har-jā bahār-e-gulistāñ hai
'ayāñ hai rañg meñ bū meñ nihāñ hai
zuhūr-e-shakHs-o-nūr-e-'aks hai ek
bashar ā.īna ban kar darmiyāñ hai
usī se hai hayāt-e-jumla-ashyā
jise dekhā nishān-e-be-nishāñ hai
vahī sāġhar vahī miinā vahī ḳhum
vahī mai-kash vahī pīr-e-muġhāñ hai
use kahte haiñ sab 'anqā-e-maġhrib
hamesha lā-makāñ meñ āshiyāñ hai
ishāra aañkh kī hai putliyoñ kā
ki vo nūr-e-nazar merā yahāñ hai
vahī goyā vahī suntā hai 'vāqif'
tamāshā hai ki be-gosh-o-zabāñ hai
wahi har-ja bahaar-e-gulistan hai
'ayan hai rang mein bu mein nihan hai
zuhur-e-shakHs-o-nur-e-'aks hai ek
bashar aaina ban kar darmiyan hai
usi se hai hayat-e-jumla-ashya
jise dekha nishan-e-be-nishan hai
wahi saghar wahi mina wahi KHum
wahi mai-kash wahi pir-e-mughan hai
use kahte hain sab 'anqa-e-maghrib
hamesha la-makan mein aashiyan hai
ishaara aankh ki hai putliyon ka
ki wo nur-e-nazar mera yahan hai
wahi goya wahi sunta hai 'waqif'
tamasha hai ki be-gosh-o-zaban hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.