in pe rashk aata hai ye log hain qismat wale
in pe rashk aatā hai ye log haiñ qismat vaale
raah meñ terī miTe terī mohabbat vaale
tere hī ġham meñ mare terī mohabbat vaale
paak dil le ke ga.e paak tabī.at vaale
khā lete haiñ abas jaan nasīhat vaale
ishq se baaz na ā.eñge mohabbat vaale
us ke saudā.iyoñ ko nām-o-nishāñ se matlab
be-nishāñ log haiñ ye ishq-o-mohabbat vaale
manzil-e-ishq meñ aate hī hue ḳhāk-basar
miT ga.e miTne se pahle hī mohabbat vaale
aa gayā baar nazar se araq un gāloñ par
ye haiñ vo ham jinheñ kahte haiñ nazākat vaale
na hameñ shāhoñ se matlab na amīroñ se ġharaz
ham hasīnoñ ke haiñ bande ye haiñ daulat vaale
daar par chaḌh ke bhī mansūr kī mastī na ga.ī
kalima paḌhte haiñ is mast kā sab matvāle
tere qāmat pe hai zebā vahī atlas kī qabā
apnī sūrat na badal chāñd sī sūrat vaale
vo jidhar jaatā hai chillātī hai yuuñ ḳhalq-e-ḳhudā
dekhtā jā idhar au chāñd sī sūrat vaale
ye mere urs kī shab hai ke urūsī kī hai raat
haiñ hasīnān-e-gul-andām ziyārat vaale
yā ḳhudā vasl kabhī hogā nasīb us but kā
ham se kam-baḳht bhī kahlā.eñge qismat vaale
mere ghar aayā jo vo mahr-e-munīr ai 'akbar'
mujh se kahtā hai ke ab to hue qismat vaale
in pe rashk aata hai ye log hain qismat wale
rah mein teri miTe teri mohabbat wale
tere hi gham mein mare teri mohabbat wale
pak dil le ke gae pak tabiat wale
kha lete hain abas jaan nasihat wale
ishq se baz na aaenge mohabbat wale
us ke saudaiyon ko nam-o-nishan se matlab
be-nishan log hain ye ishq-o-mohabbat wale
manzil-e-ishq mein aate hi hue KHak-basar
miT gae miTne se pahle hi mohabbat wale
aa gaya bar nazar se araq un galon par
ye hain wo hum jinhen kahte hain nazakat wale
na hamein shahon se matlab na amiron se gharaz
hum hasinon ke hain bande ye hain daulat wale
dar par chaDh ke bhi mansur ki masti na gai
kalima paDhte hain is mast ka sab matwale
tere qamat pe hai zeba wahi atlas ki qaba
apni surat na badal chand si surat wale
wo jidhar jata hai chillati hai yun KHalq-e-KHuda
dekhta ja idhar au chand si surat wale
ye mere urs ki shab hai ke urusi ki hai raat
hain hasinan-e-gul-andam ziyarat wale
ya KHuda wasl kabhi hoga nasib us but ka
hum se kam-baKHt bhi kahlaenge qismat wale
mere ghar aaya jo wo mahr-e-munir ai 'akbar'
mujh se kahta hai ke ab to hue qismat wale
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 191)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.