apne shaidai ki wo KHub KHabar rakhte hain
apne shaidā.ī kī vo ḳhuub ḳhabar rakhte haiñ
ḳhud nazar aate nahīñ sab pe nazar rakhte haiñ
laakh rusvā kare ham ko ye zamāna lekin
ham nigāhoñ meñ sadā aap kā dar rakhte haiñ
ittifāq us ko kaheñ yā ki muqaddar apnā
husn tum rakhte ho ham husn-e-nazar rakhte haiñ
māñgne kā nahīñ aatā hai salīqa ham ko
vo navāzish kā magar ḳhuub hunar rakhte haiñ
ḳhud taḌap jaate haiñ vo dekh ke mujh ko muztar
mom jaisā mire sarkār jigar rakhte haiñ
husn-e-iqbāl faqat un ko nazar aatā hai
dekhne vaale agar husn-e-nazar rakhte haiñ
apne shaidai ki wo KHub KHabar rakhte hain
KHud nazar aate nahin sab pe nazar rakhte hain
lakh ruswa kare hum ko ye zamana lekin
hum nigahon mein sada aap ka dar rakhte hain
ittifaq us ko kahen ya ki muqaddar apna
husn tum rakhte ho hum husn-e-nazar rakhte hain
mangne ka nahin aata hai saliqa hum ko
wo nawazish ka magar KHub hunar rakhte hain
KHud taDap jate hain wo dekh ke mujh ko muztar
mom jaisa mere sarkar jigar rakhte hain
husn-e-iqbaal faqat un ko nazar aata hai
dekhne wale agar husn-e-nazar rakhte hain
- Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 474)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.