aashiq ki jaan garche gai iztirab mein
'āshiq kī jaan garche ga.ī iztirāb meñ
dāḳhil hue to aap bhalā is savāb meñ
kho.e qadīm apnī na chhoḌā hanūz aap
ġhairat se Duub mare na Dhaknī bhar aab meñ
'ādat ko apnī chhoḌ do achchhī nahīñ ye tarz
jab ham ko dekhā muñh ko chhupāyā naqāb meñ
ifshā-e-rāz tā na ho parda zarūr hai
sharmāo mat ki parda-darī hai hijāb meñ
nisbat nahīñ ’aqīq ko dandān-e-yār se
jauhar meñ yā safā.ī meñ āb-o-tāb meñ
'ashiq ki jaan garche gai iztirab mein
daKHil hue to aap bhala is sawab mein
khoe qadim apni na chhoDa hanuz aap
ghairat se Dub mare na Dhakni bhar aab mein
'adat ko apni chhoD do achchhi nahin ye tarz
jab hum ko dekha munh ko chhupaya naqab mein
ifsha-e-raaz ta na ho parda zarur hai
sharmao mat ki parda-dari hai hijab mein
nisbat nahin ’aqiq ko dandan-e-yar se
jauhar mein ya safai mein aab-o-tab mein
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 16)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.