is tarh junun ki duniya mein jine ka sahaara karte hain
is tarh junun ki duniya mein jine ka sahaara karte hain
Aziz Warsi Dehlvi
MORE BYAziz Warsi Dehlvi
is tarh junūñ kī duniyā meñ jiine kā sahārā karte haiñ
dāman ke pareshāñ tāroñ ko ham pārā-pārā karte haiñ
bijlī ko adāvat ho jin se gulchīñ kī nazar ho jin pe kaḌī
vo phuul hamesha kāñToñ ke pahlū meñ guzārā karte haiñ
ik vo bhī zamāna thā apnā maiñ un kā nazāra kartā thā
ik ye bhī zamāna hai apnā vo merā nazārā karte haiñ
rañgīnī-e-duniyā ke ma.anī samjhe haiñ vahī kuchh ahl-e-junūñ
jo ġhuncha-o-gul ko Thukrā kar kāñToñ pe guzārā karte haiñ
tū aur zarā mohkam kar le pardoñ kī mukammal bandish ko
ai dost nazar kī garmī ko ham aaj sharārā karte haiñ
maiñ un kā azal se qaa.il huuñ maiñ un pe azal se maa.il huuñ
jo sirf nazar kī jumbish se bīmār kā chārā karte haiñ
sāġhar se unheñ ab kyā nisbat miinā se unheñ ab kyā matlab
din-rāt 'azīz' in āñkhoñ se jo dil meñ utārā karte haiñ
is tarh junun ki duniya mein jine ka sahaara karte hain
daman ke pareshan taron ko hum para-para karte hain
bijli ko adawat ho jin se gulchin ki nazar ho jin pe kaDi
wo phul hamesha kanTon ke pahlu mein guzara karte hain
ek wo bhi zamana tha apna main un ka nazara karta tha
ek ye bhi zamana hai apna wo mera nazara karte hain
rangini-e-duniya ke mani samjhe hain wahi kuchh ahl-e-junun
jo ghuncha-o-gul ko Thukra kar kanTon pe guzara karte hain
tu aur zara mohkam kar le pardon ki mukammal bandish ko
ai dost nazar ki garmi ko hum aaj sharara karte hain
main un ka azal se qail hun main un pe azal se mail hun
jo sirf nazar ki jumbish se bimar ka chaara karte hain
saghar se unhen ab kya nisbat mina se unhen ab kya matlab
din-raat 'aziz' in aankhon se jo dil mein utara karte hain
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 56)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.