is zamane mein hai har shaKHs ko duniya ki talash
is zamane mein hai har shaKHs ko duniya ki talash
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
is zamāne meñ hai har shaḳhs ko duniyā kī talāsh
bas ġhanīmat hai jise kuchh bhī ho uqbā kī talāsh
māldāroñ ko ziyāda hai tama.a duniyā kī
mard-e-muhtāj ko hai roz-e-fardā kī talāsh
gazī-o-gāḌhā ġharīboñ ko hai matlūb-e-libās
nāzuk-andāmoñ ko hai jāma-e-zebā kī talāsh
kHilat-e-fākHirā lailā pe sazā-vār rahe
us ke majnūñ ko to hai dāman-e-sahrā kī talāsh
mārtā hai vahī āshiq ko jilātā hai vahī
yaar ke hote kare kaun masīhā kī talāsh
gudḌī-posh us ko na kah hai vo libāsī darvesh
jo gadā hoke kare atlas-o-duniyā kī talāsh
is jahāñ meñ na koī hogā talab se ḳhālī
kahīñ a.alā kī talab hai kahīñ adnā kī talāsh
zāhid allāh se Dar da'vat-e-asmā na kar
chāhiye shām-o-sahar tujh ko musammā kī talāsh
fil-haqīqat meñ ye sab nafs ke bande haiñ 'turāb'
banda-e-haq hai vahī jis ko hai maulā kī talāsh
is zamane mein hai har shaKHs ko duniya ki talash
bas ghanimat hai jise kuchh bhi ho uqba ki talash
maldaron ko ziyaada hai tama duniya ki
mard-e-muhtaj ko hai roz-e-farda ki talash
gazi-o-gaDha gharibon ko hai matlub-e-libas
nazuk-andamon ko hai jama-e-zeba ki talash
kHilat-e-fakHira laila pe saza-war rahe
us ke majnun ko to hai daman-e-sahra ki talash
marta hai wahi aashiq ko jilata hai wahi
yar ke hote kare kaun masiha ki talash
gudDi-posh us ko na kah hai wo libasi darwesh
jo gada hoke kare atlas-o-duniya ki talash
is jahan mein na koi hoga talab se KHali
kahin aala ki talab hai kahin adna ki talash
zahid allah se Dar da'wat-e-asma na kar
chahiye sham-o-sahar tujh ko musamma ki talash
fil-haqiqat mein ye sab nafs ke bande hain 'turab'
banda-e-haq hai wahi jis ko hai maula ki talash
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.