ishq har-chand meri jaan sada khata hai
'ishq har-chand mirī jaan sadā khātā hai
par ye lazzat to vo hai jī hī jī jise paatā hai
aah kab tak maiñ bakūñ terī balā suntī hai
bāteñ logoñ kī jo kuchh dil mujhe sunvātā hai
ham-nashīñ pūchh na us shoḳh kī ḳhūbī mujh se
kyā kahūñ tujh se ġharaz jī ko mire bhātā hai
baat kuchh dil kī hamāre to na suljhī ham se
aap hī ḳhush huā phir aap hī ghabrātā hai
jī kaḌā kar ke tire kūcha se jab jaatā huuñ
dil-e-dushman ye mujhe gher ke phir laatā hai
raah peñDe kabhū us shoḳh ke ta.iiñ ham se bhī
dīd-vā-dīd to hotī hai jo mil jaatā hai
'dard' kī qadr mire yaar samajhnā vallāh
aisā āzād tire daam meñ yuuñ aatā hai
'ishq har-chand meri jaan sada khata hai
par ye lazzat to wo hai ji hi ji jise pata hai
aah kab tak main bakun teri bala sunti hai
baaten logon ki jo kuchh dil mujhe sunwata hai
ham-nashin puchh na us shoKH ki KHubi mujh se
kya kahun tujh se gharaz ji ko mere bhata hai
baat kuchh dil ki hamare to na suljhi hum se
aap hi KHush hua phir aap hi ghabraata hai
ji kaDa kar ke tere kucha se jab jata hun
dil-e-dushman ye mujhe gher ke phir lata hai
rah penDe kabhu us shoKH ke tain hum se bhi
did-wa-did to hoti hai jo mil jata hai
'dard' kī qadr mere yar samajhnā wallah
aisa aazad tere dam mein yun aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.